Teri yaad bhi ek

Teri yaad bhi ek
Teri yaad bhi ek beeta hua kal hai,
Jise bhula na paun aisa wo pal hai,
Kabhi mere dil ki gehraiyo se guzar kar to dekh,
Mere wajood se juda tera har pal hai.
  

Jun, 05 2010     161 chars (2 sms)     2375 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ae kalam zara ruk k chal,
kya haseen muqam aya hai,
kuch der thehar ja,
tere nok ke neeche mere dost ka naam aya hai..
Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka.
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka.
Main Tu Akela Chal Raha Hoon Andheron Main.
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Rosheni Ka.
Kabhi Arsh Per Kabhi Farsh Per
Kabhi Un Ke Dar Kabhi Dar Badar
Ghum-E-Aashiqi Tera Shukria
Mein Kahan Kahan Se Guzar Gaya
Ankho se Apke dil me utar jaenge,

dil me utar k dhadkan ban jaenge,

Palke jhuka kar chalna,

warna logo ko Apki ankho me

sirf hum nazar aayenge.
Tou soach lena...
ghataen jhoom k sehra ki simt aa nilen...
gulaab cheer k seena chtaan ka mehken...
lagen jo rait k zarre bhi kehkishaan jaise..
falak k chand ko dharti pq rashk aane lage...
aur absharoon se naghma koi ubharne lage...
ya tar dil ka kisi k naam pe larzne lage...
ya sooti aankhon me yakbaar khwab jaar uthen...
fasoon shizaan ka baharon se hamkalam lage...
utarne palkon pe ek sumaai c shaam lage...
kisi k honton ki khamoshi ek piyam lage...
rafaqton ka bhi moasam thehr thehr jaae...
tou soach lena k tumhen MOHABBAT hui k hui...
sar mein sauda bhi nahi dil mein tamana bhii nahii
lekin is tark-e-mohabbat kaa bharosaa bhii nahii

muddatein guzarii terii yaad bhii aaii naa hamein
aur ham bhuul gae hon tujhe aisaa bhii nahii

ye bhi sach hai k mohabat mein nahi main majbur
ye bhii sach hai ke teraa husn kuchh aisa bhii nahii

badagumaN ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe
ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahii

muuNh se ham apane buraa to nahii kehte, ke ''Firaq''
hai teraa dost magar aadamii achchhaa bhii nahii.n
Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate….
Yad ha tum ne
muje kaha tha

agar kabhi ham
bichhar gaey to
dil mein pyaar ke jugnoo bhar ke
kuch pall muj ko dhondtey rehna
dekhna main phir laut aaon gi
lekin..
teri yaad mein ab tak
main aur jugnoo bhattak rahey han
Khamoshiyo ki wo dhimi si aawaj hai,
Tanhaiyo me wo ek gahra raaz hai.
Milte nhi h sabko sachha pyar yahan,
Aap jo mile to hume khud par naaz hai
Main kab Tak Tujhe Paane Ki Chahat Main Zillat Uthaata Rahoon, ,,,

Mohsin.....

Koi Aisa Dhoka De K Meri Hr Aaas Toot Jaye!
Mil K Bicharna Dastoor Hay Zindagi ka,
Ik Yahi Kissa Mashoor Hai Zindagi Ka,
Beetay Howay Pal Kbhi Lout k Nahi Atay,
Yahi Sab Se Bara Qasoor Hai Zindagi Ka.
December Ki Udass rutt
lout ayi hay nami ankhon mein liye
aur keh rahi hay mujhe
k tere waste ab ki baar bhi
mere daman mein sirf tanhayi hay!!!