bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
Ajab shaam khari hai Kahin se aajao,
Barri udaas ghari hai kahin se aajao,
Kissi se milna aur mil ke bichar jana,
Saza Yeh itni bari hai Kahin se aajao
tum aao na aao hum to bulayengey,
tum bhula do hum na bhula payengey,
tumhe haq hai bhula do humari dosti ko,
humne dosti ki hai her hal mey nibhayengey..