BAN GAYE HO JAAN AB

BAN GAYE HO JAAN AB
BAN GAYE HO JAAN AB
AB TO IS DIL ME UTTAR JAO,
MANGA HAI TUMHE KHUDA SE,
EK PAL K LIYE NAHI, IS LIYE KAHTE HAI,
AB TO MERE HUMSAFAR BAN JAO.
  

Jun, 05 2010     145 chars (1 sms)     5368 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Khafa Rah Kar Tum Bhi Na Rah Paoge
Jaan To Jaegi Hamari, Saans Tum Bhi Na Le Paoge
Kabhi Chup Ki Mohar Sajatay Hain,
Kabhi Geet Labon Per Laitay Hain,
Kabhi Sub Ka Dil Behlatay Hain,
Kabhi Khud Main Tanha Hotay Hain,
Kabhi Shab Bhar Jagtay Rehtay Hain,
Kabhi Ro Ro Kar So Jatay Hain,
Hum Nazuk Nazuk Dil Walay
Bus Kuch Aisay He To Hotay Hain!!
Jasus
Aaj udaas hun to kisi ny bhi aawaz na di,,,
Faraz

Yeh matti k putly kisi sy waFa nahi karty...
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay main magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Tu Kahin Bhi Rahe Sir Pe Tere ILzaam To Hai

Tere Haathon Ki Lakeeron Main Mera Naam To Hai

Mujh Ko Tu Apna Bana Ya Na Bana Teri Khushi

Tu Zamane Main Mere Naam Se Badnaam To Hai

Mere Zindagi Main Koyi Khushi Na Aayi Na Sahi

Teri Zindagi Main Mere Naam Ki Koyi Shaam To Hai

Dekh Kar Laug Tujhe Naam Mera Lete Hain

Is Pe Main Khush Hoon Mohobbat Ka Ye Anjaam To Hai
be-chain hum hi nahi aun ke yaad mai...
.
karwatain tou wo b badaltay hain raat bhar.
Haseen kitna zeyada ho gaya
Woh jab se aur sada ho gaya

Chalo hum bhi mohabbat kar hi leen ge
Agar us ka irada ho gaya

bhula doon ga use agle janam tak
Mera us se yeh wahda ho gaya

Ghari bhar us ki aankhon main utar kar
Samandar bhi kushada ho gaya

Bicharne ka use bhi dukh hay shayad
K ab to woh bhi adha ho gaya
Aik phool se shurwat ki thi muhabt ki.

wohi phool ki patyaan dali gyi qabr per.
Dil Ki Masoom Ragai''n Toot''ti Hain

Yaad Itna Bhi Na Aaye Koi
Ab kisi se koi gila hi nahi
Jis ko Chaha tha woh mila hi nahi
Yeh to sab khel hai Naseebo ka
Apni Qismat main woh likha hi nahi
Woh jo ek shaks hum ko Pyaara tha
Aisa bichrra ke phir mila hi nahi
Jaa chuka hai woh door yun hum se
Ab milne ka koi aasra hi nahi
ae barish tujhy aaj kis ne rula daya hai.

barasti hi ja rahi hai mere shahr main.
Kash kay main musavir hota
Teri ik tasveer banata

Qos-o-qazah kay rang chura ker
Tere chehrey ki zeenat banata

Teri maang sitaroon say sajata
Nazar na lagay tujhay kisi ki

Tere rukhsaar pay siyaah til lagata
Kayee kayee peher tujhay takta rehta..!!!