Hanste Hue, Aankhon

Hanste Hue, Aankhon
Hanste Hue, Aankhon Main Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yun Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Se Aankhon Main Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Se Na Taqdeer Se
Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai In Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaayi Main Mera Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
  

Jun, 03 2010     435 chars (3 sms)     3423 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sapno ki duniya hai nirali,
Har taraf rehti hai hariyali.
Par asli duniya ki khabar rakhne wale jante hai,
Isiliye woh sapno ko sach nahi mante hai.
wada na wfa krty wada tou kia hota,
umeed tou band jati taskeen tou ho jati,
Lab Pe Aati Hai Dua Ban K Tamana Meri
Dil Karta Hai SIM Band Karwa Doon Teri
Ho Mere Dam Se Har Jaga Ujala Ho Jaye
Jo Mujhe Sms Na Kare Us Ka Rang Kala Hojaye
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
kub kaha tha nazaron se khuof ata hai.
hume tu chand sitaron se khuof ata hai.
mile hain doston se ghum itne ..
mare badan ko saharon se khuof ata hai.
Dil ke is mehfil mein,
Naam hai sirf tera,
Chahne ke is chahat mein ,
Pyaar hai sirf tera,
Kahoon mein kaise is chahat ko,
Tere naam karta hoon main kurbaan is mohabbat ko.
Tum Jao Humse Door To AIk Kaam Ker Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Ker Jana
Agar Aa jaye Mout Hamain Tere Aane Se Pehle
To aa Ker Mere Janaze Ko Ehtiram Ker Jana
Na Rona Iss Qadar K Takleef Ho hamain
Mout Ko B Mazak Samjh Ker Aanjan Ben Jana
MeiN AIk Din So Jaonga Sada k Liye
Phir Mujhe Bewafa Keh K Badnaam Ker Jana
Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazrain Na Pehrna
Mehmaan Hee Ben K Dua Salam Ker Jana
CheHra roShan Ujala Ujala
AkhiyOn Main KajRa Kala Kala


Pairon Main Bajay Payal Payal
Galay Main Chalkay Mala Mala


Firaq Pah Nazm Pheeki Pheeki
TeraY Husn Peh Shair Ala Ala


Lams Ka Zaher Dhiray Dhiray
Tu Ishaq Ka Bunti Jala Jala


MuSkan LabooN Per Phaili Phaili
AiteRaf-e-IsHq Bala Bala



SaHeR Me Dobta Madham Madham
SaHiR Ka Dil Nirala Nirala
Hijr ki Talkhi Zeher Bani Hy

Meethi Baate''n Bhejo Na

Shaam Me Jeewan Beet Chala Hy

Roshan Subhe''n Bhejo Na

Khud Ko Dekhy Arsa Guzra

Apni Aankhe''n Bhejo Na
Jab bhi chaho mere khawabon main chali aana,ho k shamil meri sanson main,meri rooh main utar

jana,tume ijazat hai jab bhi chaho,chandni ban k mere kamray ki khuli khirki say qadam

barhati hoi ahista ahista dabay qadmon say chali ana,main us roz dua krunga,wo shab jo

tumhare sath basar ho,kisi bhi tore agli sadi say kam na ho.
Ishq fanaa ka naam hain ishq mein zindagi na dekh
Jalwa-e-aftaab ban zarre mein roshni na dekh

Shauk ko rehnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
Aag dabi huii nikaal, aag bujhi huii na dekh

Tujko khuda ka wastaa tu meri zindagi na dekh
Jiski sahar bhi shaam ho, uski dard bhari raat na dekh.
Rasm-e-Ulfat hi ijazat nhi daiti warna

hum bhi aisa tumhain bhoolain k sada yaad karo.