yaaro kisi qatil se

yaaro kisi qatil se
yaaro kisi qatil se kabhi pyar na maa.Ngo
apane hi gale k liye talavar na mango
gir jaoge tum apane masihaa ki nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na mango
  

Jun, 05 2010     168 chars (2 sms)     3404 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ji tu kerta hai ussay muft mai jan de don mohsin...
Itnay masoom kharedar say kia lena dena...
Koi tum se pooche kon hoon main,

tum keh dena koi khas nahi,

ik dost hai kacha paka sa,

ik jhoot hai aadha sacha sa,

jazbaat ko dhanpye ik parda sa,

bus aik bahana acha sa,

jeevan ka aisa sathi hai,

jo door na ho kar pas bi nahin,

koi tum se poochye kon hoon main,

tum keh dena k koi khas nahin.....!
mahobbat me mene kya kuchh nahi luta diya?mahobbat me mene kya kuchh luta nahi diya?unko pasand thi roshni!!or mene khudko hi jala diya.....
Hum ne dekha tha faqat Shauq-e-nazar ki khatir...

Ye na Socha tha ka tum dil mein utar jao gay..
Tumhain bhool gya hoon, akailay rehna aa gya hai shaid.
Woh jiss khirki main chand tha, sooraj aa gya hai shaid.


Mehfill sakoon main hai, Paimana hai preshaan.
teray laboon ko chhoo kar, wapiss aa gya hai shaid
Aaj bari mudat k bAad ronAy ko ji chahA hay.

Tere

yaad

main

palkain

bagonay

ko je chaha hay.
tark-e-taulak ka mujhko bhi ghum nahi.
per dil yeh chahta hai keh aghaaz wo karain.
TAMANNAON MAIN ULJHAYA GAYA HOON
KHILONY DE KE BEHLAYA GAYA HOON
KAFAN MAIN KIYON NA JAOON MOON CHUPA KE
BHARI MEHFIL SE UTHWAYA GAYA HOON
Aaj ke daur mein aey dost ye manzar kyuN hai
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuN hai

jab haqeeqat hai ke har zarrey mein tu rehta hai
phir zameeN par kahin masjid kahin maNdir kyuN hai

apna aNjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mein har insaan sikaNdar kyuN hai

zindagi jeeney ke qaabil hii nahii ab "Rahi"
warnaa har aaNkh mein ashkon kaa samaNdar kyuN hai
Apny Ghar Ka
Aik hi Rasta...
Dhoop K teelay
Rait Ka Daryaa,,,
Dewaaron per
Aas Ki Bailein
Sahen K ander
Hijr Ka Poda,,,
Har Kamray Mein
Uss Ki Yaadein...
Sab Chezon mein
Uss Ka Chehra
Dard mein bhi yeh lab muskura jatay hain
Beetay lamhay hamein jab bhi yad aatay hain
Chand lamhat k wastay hee sahi
muskura kar mili thi mujhay zindagi
Teri agosh mein din thay meray katay
teri bahon mein thi meri ratein kati
Aj bhi jab woh pal mujh ko yad atay hain
dil say saray ghamon ko bhula jatay ahin
Meray kandhay pay sir ko jhukana tera
Meray seenay mein khud ko chhupana tera
Aa k meri panahon mein sham o sahar
Kanch ki tarah woh toot jana tera
Aj bhi jab woh manzar nazar atay hain
dil ki veeranion ko mitta jatay hain
Bahot Khud Pe Jabbar Kar K,

Mohabat Ka Safar Kar K,

Mita K Har Khushi
Apni,

Usay Paany Ki Chahat Mein,

Bas Itna Jan Paya Hun,

Mohabat Maar Deti Hai.