roein hain bahut ajj

roein hain bahut ajj
roein hain bahut ajj hum tere naam se
kayun hoti hai tadap tere ek khayal se

jab tu khush hai , apni hi duniya mein
phir kayun jeeye hum tere intezar mein

ek tere vaade par, chale aaye iss paar
ab khade hain tanha, tanhai ke mukaam pe

roein hain bahut ajj hum tere naam se
kayun hoti hai tadap tere ek khayal se..
  

Jun, 03 2010     328 chars (3 sms)     2436 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dasht-E-Ghurbat main


jis pairh Ne,



mere Tnha Musafir Ki khatir,


Ghani Chaon Phailai hY,

Us ki Shaadabion k Liye

Meri sb Unglian

Hawa main

Dua Likh rahi Hain.
apane haathon se yun chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho
tum kabhii meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
pyaar karate ho to phir pyaar chhupaate kyon ho
ashk aankhon me merii dekh ke rote kyon ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho
in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanon se ye zulf haTaate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milane aate ho to phir lauT ke jaate kyon ho
apny tarouf k liye etna hi kafi hai shakeeb

hum wo rasta chor daity hain jo aam ho jaeey
kia kahoon tujhay?
dil kahoon to toot jay ga
khuwab kahoon to bikhar jay ga
aa tera naam zindagi rakh doon
maut say pehlay
to tera sath choot na pay ga………;->
na kar inkaar a zalim mere pass ane se ..
khuda bhi roth jata hay kisi ka dil dukhane se
Apni barbaadi ka jahan aabaad rakhna hai
ussay sub bhoolna mujhay sub yaaad rakhna hai!!
zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.
mehsoos ker raha hon main jeene ki talkhyaan.
shayad mujhe kisi se mhubat nahi rahi....!
jab ghata koi toot kar barse
dil mera tere lams ko tarse

phir tera naam shaam tanhaii
sehmi sehmi hai dhadkane phir darr se

haal andaar ka bass khuda jane
kitna roshan hai diya bahar se
aaj barish ka jo imkaan hai dil ye kahta hai.

yaad kar k wo mujhy roya ho ga kahain phir.
Ek Andekhi Si Surat In Aankho Main Rehti Hai
Jis Say Kabhi Mili Nahi Phir Kiyon
Yeh Nigaahain Un Say Milnay Ko Tarasti Hain

Main Jo Ek Murat Dil Main Banae Betha Hoon
Kiya Maalum Kay Shayad Yeh Nigahain
Usi Ki Talaash Karti Hai
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain

kaise lagi aap sub ko?????????????