her raat teri y

her raat teri y
her raat teri yadon ko qatal kar k dafan kr k so jata hun.

per yeh log bare sangdil subha teri adain teri batain le kr aa jate hain.
  

May, 27 2010     136 chars (1 sms)     2394 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ab Kahuf Nahi Koi Mjhe Rah-e-Guzar Se
Main Duur Nikal Aaya Hoon Us Kanch K Nagar Se
Ye Log B Ache Hyn Makan B Bht Ache
Bas Main Hon Bezaar Un Achon K Nagar Se
Ek Mor Pe Hum Ajnabi Ban K Milenge
Ye Baat Tou maloom Thi aaghazz-e-Safar Se
Jesa Bhi Hoon Acha Hoon ya Bura Apne Liye Hon
Main Khud Ko Nahi Dekhta Auro''n Ki Nazar Se
SanSoon K SuB KhaRaj AddA HuM Nay Ker Diye






LaikEn NiSaR KaiSy KrieN Ab ANNA k PhOOL!!
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
SanG DiL hY Wo To Q Us ka Gila maine kia


jb k khud Pathar ko butt'' Butt ko Khuda maine kia

Kaise Namanoos Lafzoo ki kahani Tha Wo Shakhs

Us ko kitni mshkilo Se Tarjma maine kia
mana k teri deed k kabil nhn hain hum ....

tirshi nazar say dekh magar dekh to sahi....
Kisine Na Samjha Hume
Kisine Na Jaana Hume
Aapse Ki Mohabbat
Aapne Bhi Na Pehchana Hume
Apni barbaadi ka jahan aabaad rakhna hai
ussay sub bhoolna mujhay sub yaaad rakhna hai!!
Main dukhon k jahan mian rehta hon..tu muje kyun udaas kerne chala ata hai.!
apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kion ho

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa

piyar karate ho to phir piyar chupaate kion ho

ashk aunkhoon main merii dekh ke rote kion ho

dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kion ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum

mere shaanoon se ye zulf hataate kion ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kion ho

milane aate ho to phir laut ke jaate kion ho
Main nay us k hath ki lakeron main
Aik siyah til dekha
Aur usay bataya, ye Daulat ka til hay
Tumahray hathon main kitni Daulat hay
Us nay apnay dono hathon say
Mera chehra thaam kar kaha
Han ! Dekho meray dono hathon main
Kitni Daulat hay. . . . . . /


Bat sajdoon ki nahi khaloos-e-niyat ki hoti hy IQBAL Aksar log khali hath laut atey hain her NAMAZ k baad
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo