Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin
Kaise keh doon dil mein ab koi nahin
Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin
Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin
Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sare aam pukara nahi jaata,
Hoti he dosti me kuchh raaz ki baaten,
Yuhin to iss khel me dil haara nahi jaata!
Zaroori to nahin jeene ke liye sahara ho
Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho
Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain...
Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....
Kabi chahton mein chupa liya
Kabi Nafraton mein jala diya
kabi huns k hum ko mana liya
Kabi Ansoun mein baha diya
Yea zindagi b ajeeb hai
kabi khushboo ban ker Bikher gai
Kabi Lumha bher mein guzer gai
kabi Jugnu ban ker Chamak uthi
Kabi Mil k Phir say bichar gai