lakhon main chant k dey

lakhon main chant k dey
lakhon main chant k dey dey wo log yarrab
kanton ki rahguzr main b jo sath chalain humaisha
  

Jun, 02 2010     92 chars (1 sms)     2502 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aankhon Main Jo Aansoon Hain Humaray Ussay Kehna
Dono Yeh Hissa Hain Pyaaray Ussay Kehna

Tapkay Jo Teri Aankh Say Aansoo Ka Koi Qatra
Nahin Dekhnay Hum Ko Yeh Nazaray Ussay Kehna

Katti Nahin Us Say Bhi Shab-E-Hijran Tu Phir
Ginna Karay Woh Bhi Sitaaray Ussay Kehna

Hoti Nahin Pori Kabhi Khahish Koi Us Ki
Chal Jatay Hain Dil Pay Merey Aaray Ussay Kehna

Kal Raat Tu Chaand Kuch Mayoos Sa Tha
Aaj Woh Khud Ko Na Sanwaray Ussay Kehna

Zindagi Ek Shaam Hai Saharay Main Ghuzaroon
Ek Shaam Merey Sath Woh Ghuzaray Ussay Kehna
Rakhty Hain Jo Oroon K Liyeh Pyar Ka Jazba





Woh Log Toot Ker Kabhi Bikhra Nahi Kerty
Bolti hai DOSTI, chup rehta hai PYAR....

Hansati hai DOSTI Rulata hai PYAR

Milati hai DOSTI

Juda karta hai PYARPhir kyun DOSTI chor ke log kerte hain PYAR?
Us k Kehny Par Us Ki
Tamanna Bhi Chorh Di
Hum Ny

Zara Hum Bhi Tou
Dekhai''n Kon Chahta
Hy Usay Humari Terha !!!
mein nhin khud ke liye hoon mein zamaney ke liye
khud ko zakham de de kar auroon ko hasaney ke liye

hum ne kya kya na kiya tere chaley janey ke baad
tujeh hi yaad kiya tujh ko bhulaney ke liye

ye khiza ye andhere ye viraney sa safar
hum toh nikley the kahin aur hi janey ke liye

ayina dekh ke heraan sa ho jata hoon
khud ko hi bhool gaya app ko paney ke liye

yun raqeeboon se hans hans ke kyun miltey ho
teri berukhi hi bahot hti dil ko jalaney ke liye

ye jo chalakta hai ankhoon se ise pani na kaho
ye toh moti hai mere pya rko sajaney ke liye!!
Khud Apne Aap Ko Parkha Tou Ye Nadamat Hy

K Ab Kabhi Bhi Ussay Ilzam-e-Be-wafai Na Doon
Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhon Main Aa Betho


Woh Berson Main Kabhi Bersey Yeh Berson Sey Barasti Hain
aaj wo besabub ro para mahfil main.

amir

aj phir koi na koi badnaam hua hoga mafil mian.
tari gafaton ko khaber kahan mary hol o dil ph nazer khan,,,

tu jafa ke had man nah aa ska man wafa ke hd sy gujzar gaya
mudaton baad usay pa kr us raat.

itna roya k sochon to hansi aati hai..
Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,

Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,

Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,

Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
Muddat Ho Gyi Tanhaiyo Ko Guzre

Par Ab Bi Ankho Me Khamosi Kyu Hai

Tod Diya Mera Yakin Mohabat Par Jisne

Wo Saks Ab Bi Pyar K Kabil Kyu Hai.