main ser k bal girra tha

main ser k bal girra tha
main ser k bal girra tha gunahoon k bojh se,
dunia smjh rahi thi k sajde main prra hai,,
sajde main jab gya tou logon ne ye kha,
zalim ne etni pee hai k madhosh prra hai,,
  

Jun, 02 2010     175 chars (2 sms)     2502 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek shararat kertay hain

Aao mohabbat kertay hain

Hansti aankhoun se keh do

Dareya hijrat kertay hain

Kuch dil aisay hain jin per

Hum b hakumat kertay hain

Koi baat to hai mujh main

Dushman b izzat kertay hain

Zinda rehna hai dushwaar

Acha.. to himmat kertay hain

Waisay hotay nahee hain log

Jaisi chahat kertay hain

Aksar apnay aap se hum

Teri shikayat kertay hain

Dil Ab Tak ...

Wasl k Un Lamho''n

k Asar Main Hy ...

Main Jab Sy

Tum Se Mil k Aaya Hoon

Mera Sab Kuch Safar Main Hy !!!
yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain
tujh ko dekhain to tujhey dekhney aaney lag jaaein

qurb achha hey magar itni bhi shiddat se na mil
ye na ho tujh ko merey rog puraanay lag jaaein
Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai
Kasam Khuda Ki Wahin Dhokha Khaya Hai
Kyon Dosh Dete Hein Hum Kanto Ko
Zakham To Humne Phulo Se Paaya Hai
Kaash !!

Woh Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
Har Baar
Ekk Masoomiyat Say
Poocha Karti Thi
Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
Aur Main Har Baar
Uss Ke Chehrey Ko Choo Ke
Qasam Khaya Karta Tha
Par Kaash!!!
Mainey Aik Baar Hi Uss Say Poocha Hota
Ke
Tum Mairi Hi Ho Na???
Tumhen udaas Dekh ker,,

kisi k Rang kho Gae..

kahin pe chand Bhujh Gya,,

kahin Sitaray so Gae..

kahin pe Barishon ki Rutt,,

Ghazb ki piyas Ban Gai..

Koi Bahar Rooth Kar,,

Sarapa.e.Aas Ban Gai..

Kisi k Mosmon ko Yun,,

Azaab Mat Diya karo..

Udaas mat Hua karo,,

Udaas mat Hua karo..!
Yoon bhi ham door rehtay thay..
Yoon bhi dilon mein ik kadoorat thi..

Tum nay rasman bhula diya warna..
Is takkaluf ki kya zarurat thi...
Bhool kar apko jayenge kaha.

Ek pal zameen par jee payenge kaha.

Aapse hi muskurahat hai meri zindagi me.

Bina aapke kush reh payenge kaha.
Theres a time to cry,

a time to smile, a time to laugh,

and a time to love,

but now is the time to SLEEP!

You know what time is it?
apny aamaal par parrti hy nazar,to lara uth''ta hun,

phir sochta hoon k tera ik naam"REHMAN"Bhi to hy.
Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?
usy meri mohbat pr brosa he na tha.

mohsin

pher wo q logo ko mri wafaon k hawaly dta hy.