Bachcho kasam khao

Bachcho kasam khao
Sir : Bachcho kasam khao kabhi saraab, cigarette nahi piyoge, non-veg nahi khaoge. Bachche : Nahi karenge sir. Sir : Kahbi ladki nahi chhedoge. Bachche : Thik hai sir. Sir : Jua nahi kheloge. Bachche : OK sir. Sir : Desh k liye jaan bhi de doge. Bachche : De denge sir, aisi jaan ka aur karenge bhi kya.
  

Jun, 04 2010     304 chars (2 sms)     3183 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Shayad Iss Nay Mujh ko Tanha Daikh Lya Hey
Dukh Nay Meray Gher ka Rasta Daikh Lya Hey

Apnay Aaap Say Ankh Churata Phirta Hoon
Aaiinay Mein Kiss Ka Chehra Daikh Lya Hey

Us Nay Mujhay Darasal Kabhee Chaha Hee Nahin Tha
Khud Ko Day Ker Yeh Bhi Dhoka! Daikh Lya hey

Uss Say Miltay Waqt Ka Rona Kuch Fitree Thaa
Uss Say Bicchar Janay Ka Nateeja Daikh Lya Hey

Rukhsat Kernay Kay Adab Nibhanay They
Band Ankhon Say Us ko Jata Daikh Lya Hey
Kya khabar Thi K Chalay Gi Kabhi Aisi B Hawa

khusk Patton ki Tarah Dost Bikhar Jayein Ga
Tamam Umar Mujhe Tootna Bhikarna Tha....

Wo Meherbaan Bhi Kahan Tak Samet Tha Mujhe....
Iss Dard k Baad Koi Dard Dard NAhi Legta
K Shidat-e-Dard Ki Inthia Hoti hai Mohabbat
Nahi Uththi Wo AAnkahin Phir kisi Pe
K Jin Aankhon Mein Fana Hoti hai Mohabbat
Umer Bher Jinka Aazala Na Ker Paain
Bas Aik Aesi Hee Khata Hoti Hai Mohabbat
Jo Mil Jaye To Phir Bas Kia Kehna
Werna AIk Musalsel Saza Hoti Hai Mohabbat
Log Mujhse Her Baar Yehi Pochte Hain
Tum Ne Uss Mein Dekha Kia?
Mein Her Baar Yehi Kehta Hon
Bewajah Hoti Hai Mohabbat
apni khamosh zindagi main bulana mujhko
apni haseen khuawab ki tasveer banana mujhko,
main jo puchun tumhara hal-e-dil,
to apni her dharkan ki awaz sunana mujhko
hum guhegar hain
humko saza dy do
bus mout ajae
itni se dua dy do...
Wo Inkaar Kerty Hyn
Iqrar k Liye

Nafrat b Krty Hyn Tou
Pyar k Liye

Ulti Chal Chalty Hyn Ye
Ishq Waly

Aankhei''n Band Krty Hyn
Deedar k LIye
Tumhari hr ada hai monsoon jaise,
kab aaoge kab jaoge na kisiko hai khabar hoti,
pata nahi kab aake garjo ge aur kab aake barso ge,
agr pata hota pehle se ke aaj tum online garaj ne aur barasne wale ho to kab se computer ko khula asman
samjh ke,
internet ko bijli ka ehsas samajh ke aur web.cam. on karke barish ka maza lene ka intezar karte aapko dikhla
dete
Wo Janta Hai K Mujhse Sabar Nahi Hoga , Wo Mere Dard Se Bekhabar Nahi Hoga , Main Do Qadam Jo Chaloon Dil Pukarta Hai Yehi , K Tera Sath Na Hoto Yeh Safar Nahi Hoga
A khuda mujhpar 1ehsan krde,Unke Dil k pure sab arman krde,Unki khushi k liye agar kisi ki Zindgi chahiye to der na kar mujhe bejaan krde...
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
aj to be-sabab udaas hy ji...

ishq hota to koe baat b thi...