Koi insan kisi insan ko

Koi insan kisi insan ko
Koi insan kisi insan ko kya deta hy

Aadmi sirf waseela hy sub Khuda deta hy

Wo takleef b dy mujhko tu karon Shukar ada

Koi Apna he smajh kr to saza deta hy..
  

Jun, 03 2010     167 chars (2 sms)     8552 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aj hum ne b Jabr se Hans kr...
Jeenay waloon ki c nakal utari hai
wo rootha tu hum bhi chup rahaye

ek baar mana lete tu roz khafa hota
Wo K Her Eahd-E-Wafa Se Mukarta Jaye
Dil WO Zalim K Usi Shaks Pe Merta Jaye
Mere Pehlu Mein Wo Aye To B Khushbu Ki Tarah
Mein Usey Jitna Sameton Wo Bikherta Jaye
mai hawa ka jhonka hun
mujhe pakadne ki koshish mar karna.....
ek khwab hun .....
ik khwab hun is khwab se pyar mat karna......
malum nahi mujhe
kisi or hai meri manzil
bas unhi guzarta raha unki galiyon me
ek berukh jhonke ki tarah.......
Her jaanib samundar hai
Kinaara kiyun nahi milta..
Mere Maula bataa
Mujhko sahaara kiyun
nahi milta..
Mujhe is shehar mein din bhar
Hazaaron log milte hein..
Jissay mein doondnay nikla
hoon woh pyaara kiyun
Nahi milta..
Jissay Chaha, Jissay Pooja,
Jissay Socha, Jissay Likha,..
Mere Maula mera us se
Sitaara kiyun nahi milta..
Bohat hi door hai manzil Bhatakna
hai kab Talak,
Yah Rab..
Kissi ki Ankhon ka mujhko
Ishara Kiyun Nahi Milta...
Ye Ishq nahin aasan...

Masoom Mohabbat ka bas itna sa fasana hain

kagaz ki haveli hain baarish ka zamana hain


Kya shart e mohabbat hain kya shart e zamana hain

Awaaz bhi zakhmi hain aur geet bhi gana hain


Uss paar utarne ki umeed bhi kam hain

Kashti bhi purani hain aur tufaan ko bhi aana hain


Samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabbat ke

Ek shakhs ko aankhon se ek sher sunana hain


Bholi si ada fir koi aaj ishq ki zid par hain

Phir aag ka dariya hain aur dhoob kar jaana hain.......;->
Ek nakaam hasrat
Ek tishna arzo
Ek beqarar Mohabbat
Ek Pyaasi Rooh
Ek Haseen Jazba
Ek adhoori Talaash
Ek Tarasti Tamana
Ek Natamaam Khwaab
Tum koi Nam Do
Ek Pechchann do
Phool se pehle khusboo ko to dekho,

karne se pehle kaam ko to dekho.

kisike roop mein diwana naa bano,

surat se pehle uske dil ko to dekho.
Bataoo kaisa lagta hai
Jab main nahi hota aas pass
Jab koi nahi chalta Aas pass
Jab dil main ik durd uthta hai
Bataoo kaisa lagta hai
Door hi sahi,
kinara to hai,

timtimata hi sahi,
sitara to hai..

Hojati hai tumhari yaad se hi tasalli…
tinka hi sahi.. Sahara to hai..
kehnay ko uss se Ishq ki tafseer hay bohat

parh le to sirf aankh ki tehreer hay bohat
Hua Jo Gam Apko Dard Kisi Aur Ko Hoga,

Haso Jo Aap To Khush Koi Aur Hoga,

Socho To Zara Us Insan K Bare Me,

Wo Akhir Mere Siwa Aur Kaun Hoga