Aaj us k nam sari rat honi chahiye
Aaj to har bat us ki bat honi chahiye
Roth jaye sab se ham or wo bulaye pyar se
Shehr bhar mai ek to esi zaat honi chahiye!
tumhe.n hai shauq agar bijaliyaa.N giraane kaa
hamaaraa kaam bhii hai aashiyaa.N banaane kaa.
sunaa hai aap hai.n maahir havaa chalaane me.n
magar hame.n bhii hunar hai diye jalaane kaa
Jurm-e-Ulfat ki saza detay han tere shaher k log,
Mujh ko Sholon mein jala dete han tere shaher k log,
Kaisay aaon tere shshar mein mom sa badan le kar,
Labon se aag barsate han tere shaher k log,
Mein to ek tota hua pata hon mere ooqat hi keya ha ,
Pholon ko bhi jala detay han tere shaher k log.
Jab bhi unke ghar se gujrata hu,
hamari ankhen ek dastak de hi deti hai.
Dukh ye nahi wo darwaja bandh kar deti hai,
khushi ye hai ki wo hame pehchan to leti he.
Log samajhte hain humne unko bhula rakha hai,
wo kya jane ki dil me chupa rakha hai,
dekhe na koi usay meri aankho mein,
isliye palkon ko hum nay jhuka rakha hai.