Do hi Lafzo''n Ka Tha Wo Afsana ...

Do hi Lafzo''n Ka Tha Wo Afsana ...
Do hi Lafzo''n Ka Tha
Wo Afsana ...

Jo Suna Ker Khamosh
Ho Bethey ...

Ibtida Ye K Tum Ko
Chaha Tha ...

Intiha Ye K Khud Ko
Kho Bethey ...
  

Jun, 01 2010     151 chars (1 sms)     4236 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dil me khuda hai,

Ankho me Nasha hai,

Baato me Mazaa hai,

Chahat me Adaa hai,

Andaz bhi Juda hai,

Pyar me Wafa hai,

Are Yaar

isliye sub hum pe fida hai.
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
aaj humari bahadhuri ke charche hein to kya ......
hum bhi kabhi kayar they..................
taalash meri thi aur BHATAK raha tha wo.
dil mera tha aur DHARAK raha tha wo.
PAYAR ka taaluq ajib hota hai.
payas meri thi aur SISAK raha tha wo.
dil mein bughaz rakhta hai aur badan pe ehraam,

ye chakkar tere muqaddar k hein tawaaf nahi...
USS ko chaha bhi to izhar na karna aaya

kat gai ummr hamen piyar na karna aaya

uss ne manga bhi "agar" kuch to "judai" mangi

or hum thy kay hamen inkar na karna aaya
Kabhi khud hi mere pass aa
Meri baat sun mera saath de
Jo khlish hai dil se nikal kar
Muje uljhanon se nijat de
Tujhe sochna mera mashgala
Tujhe dekhna meri arzoo
Muje din de apne khayal ka
Mujhe qurb ki koi raat de
Meri zindagi mere saath chal
Mere hath mai apna haath de
Muje gham khushi se kabool hain
Tu jo agar mera saath de
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Rishto me pyaar ki mithas rahe,

kabhi naa mitne wala ehsaas rahe,

kehne ko to choti see hai ye zindgi,

lambi ho jayegi,

agar aap jaise pyare dost ka sath rahe.
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
Pyar ki khamosh surat ho tum,

Kaise kahun kitne aache ho tum,

Zamane ke liye kya ho men nahi jaanti,

Lekin meri har saans ki zarurat ho tum...;->
Aaj ke daur mein aey dost ye manzar kyuN hai
zaKhm har sar pe har ik haath mein patthar kyuN hai

jab haqeeqat hai ke har zarrey mein tu rehta hai
phir zameeN par kahin masjid kahin maNdir kyuN hai

apna aNjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apani nazaron mein har insaan sikaNdar kyuN hai

zindagi jeeney ke qaabil hii nahii ab "Rahi"
warnaa har aaNkh mein ashkon kaa samaNdar kyuN hai
parhna Hai to insanon ko Parhne Ka Hunar Sikho


Har ek Chahre Pe Likha Hai Kitabon se Ziada.