Kaash wado ka matlab

Kaash wado ka matlab
Kaash wado ka matlab woh samajte,

kaash khamoshi ka matlab woh samjhte,

nazar milti hai nazar se,

kaaaash meri nazron ka matlab woh samajte.....;->
  

Jun, 03 2010     160 chars (1 sms)     2544 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Wo Hans Dia
Meri
Dastan-E-Ghum
Ko Sunte Sunte . . . . .

""

Shayed Us Ko
Zamane Main
Kisi Ne Dhoka
Nahi diya.''?
jab wo tumhri mohabbat hay
tu main q noor-e- nazar tha

jab wo tumhri shar-e-kay
tu main q hamsafar tha

jab wo tumhri raazdan hay
tu main q hamraz tha

jab wo tumhri jan hay
tu main q jana-e- jana tha
Khwaab Aur Haqeeqat Main

Farq Shayad Itna Hai

Khwaab Toot Jaata Hai

Haqeeqat Tod Deti Hai ....!!
Aziyyat , maseebat , mlamat , balaein
Tere ishq mein hum ne kia kia na dekha
Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
kar kar k MinTain uski



Adat Bigaar di


DanistA hum ne us ko


sitamGar Bana Dia.
Sab se chahat ka silsila rakhna
Phir bhi thora sa fasila rakhna
Kitna mushkil hai dard kha k bhi
Dil mai jeney ka hosla rakhna
Sehte rehna dard bhi zamany ke
Aur chehra bhi phol sa rakhna
Mai ujalon mai dhal k aaon ga
Tu darecha sada khula rakhna
Zindagi us ki khushbo hai SAGAR
Dard ka gulshan sada hara rakhn
Kabhi Us ka kabhi Is ka Kabhi mera ''m0hsiN''

Tu nY Husn Ganwa diA Tijarat krty krty
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !

Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon
Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi saaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.