Lamhay judai k bekarar

Lamhay judai k bekarar
Lamhay judai k bekarar kartè hain.

Haalat meray mujhay lachar kartè hain.

Ankhain meri parh lo kabhe.

Hum khud kaisay kahen k hum aap ko kitna yaad kartè hain.
  

Jun, 07 2010     169 chars (2 sms)     3683 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

nazar se door hota ja raha hai
k woh majboor hota ja raha hai

ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
bechainyi hai sansoon me dard utha hai seeney me
bichar ker apne dilbar se aye maza na jeeney me
ayee.......mere dilbar agar tera saath nahi hai to
phir bhala hum kya ker rahain hain is duniya me
Wo the pehlu mai,or the chandni raat
Hamari Zindagi thi bas wohi chandni raat

Ajab chasmak zani thi wisal ki raat
Nazar inki thi or taroon bhari raat

Nigah-e-mast inki k rahe hai
Kahen hoti rahe hai saqi gari raat

Abas hai wada-e-farda tumhara
Mariz ishq ki hai akhri raat

Kisi ne wada-e-farda kia hai
Hume mar kar basar karni pari raat

Tabassum se kisi k ban gaye thi
Meri khilwat sarapa CHANDNI RAAT!!!!!!!!!!!!!
jina sikhaya hume isk ne,
marna sikhaya hume judai ne,
nahi liya karte the jaam kabhi,
pina sikhaya hume teri judai ne.
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Ek Ajnabi Hy Magar
Rooh-Shanas Lgta Hy

Meri Trha Mujhy
Wo b Udaas Lgta Hy

Karon Talash Tou Ho
Shak Wajood Pe Us k

Jo Aankhai''n Band Karo''n
Aas Paas Lgta Hy
phir yahan kya maray hone ka jawaz!!!!

gahr nahein koi muntazir mera,,,,
Meri aankhon mein ansooun ko rehne ki adat si ho gayi hai
Ae Khuda ! tarap utha hun mein ab to is nadi ko thehra do
Apne Halaat Ka B Ehsas Nahi Hai Mujh Ko "Faraz"

Mei ne Oaron Se Suna Hai K Preshan Hun Mein...
ab kis say kahein aur kon sunay jo hal tumharay bad huwa is dil ki jheel si akhon mein ek khuwab bohat barbad huwa is shehar mein kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gay ek shakhs kitabon jaisa thaw oh shakhs zabani yad huwa
Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi
Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi
Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi
Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi
Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi