Us ne tora wo taluq

Us ne tora wo taluq
Us ne tora wo taluq jo meri zaat se tha,

usko ranj najany meri kis baat se tha,

la-taluq raha wo bhi auron ki tarha,

Jo achi tarha waqif meri zaat se tha.
  

Jun, 07 2010     164 chars (2 sms)     7970 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

woh sari baatain yaad aati hain us ko

woh subhain,
woh shaamain

wohi zindagi ki musafatain

jinhain gin gin kay guzara kartay thay..

phir jub

haqeeqaton main wapis lout''ta he

toh

muskura daita he,.

aur

sar jhatak kay kehta he..

pagli!!!
ager kisi se bichrna itna asaan hota to...

jism se rooh ko leney frishtey kabhi na aatey...

Be-Khuloos Logo''n Se
Ijtinab Krna Hy

Mujhy Apne Rishto''n Ka
Ehtisab Krna Hy

Usay Bhool Jana Hy Ya
Usay Yaad Rkhna Hy

Dukh Tou Ek Jesa Hy Bs
Intikhab Krna Hy

bas gayi hai ye mere ahsaas main kaisi mahak
koi khushboo main lagaoon teri khushboo aaye
Jo hadse na guzar jaye wo pyar hi kya,

Jo pyar karne pe majbur na kar de wo ikrar hi kya,

Intezar to sab karte hai,

Sanse tutne tak jo saath na de wo yaar hi kya........;->
Aik bheegi hui see rat milay
Us rat mein tera hath milay
Teray lab say tapkein jo boondein
Unhein meray labon ka sath milay
Kuch tum bhi behkay behkay say
Kuch mujhay nasha sa taari ho
Har pal mein chaye madhoshi
Aik aisi rat hamari ho
Phir tum aao meri banhon mein
Mein pyar karon tumhein jee bhar k
Tum mujh say thora sharmao
Sharma k galay say lag jao
Mein jitna tum ko pyar karon
Tum itna hee betab ho jao
Humein pyar k kuch lamhar milein
Aik bheegi hui see raat milay
wo tujhko bhooly hen to tujh pe b laazm hy ae meer,

khaak daal,aag lga,naam na ly,yaad na kar...
Agar Safar main Hamara bhi hamsafar hota,
Bari khushi se in hi Pattharon pe So letay...
vo log bohut Khush-qismat thay
jo ishq ko kaam samjhtay thay
yaa kaam say aashiqii kartay thay
ham jiitay ji masruuf rahay
kuch ishq kiya kuch kaam kiya

kaam ishq ke aa''ray aataa raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aaKhir tang aakar hum nay
donon ko adhuuraa chhorr diya
Qarz!!
Kuch Khawaab Hen!

Jin Ko Rakhna Hai,

Taabeer Ki Soorat Deny Hai.

Kuch Logh Heyn!

Ujhray Dil Waalay,

Jinhen Muhabbat Deni Hai.

Kuch Neendain Abhi Baaqi Heyn,

Jinhen Baantana Hai Kuch Logon May,

Ae Umar-E-Rawaan Aahista Chal

Ahista Chal!!

Abhi Khaasa Qarz Chukaana Hai...!!!
Apni Aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaane De
Teri Mujrim hu,
Mujhe Doob Ke Mar Jaane De
wada hai tum yaad kiya karoge mujhe mujhse bhi jyada
bus ek baar tere naam per fanah ho jane de..............("_")
Ab hum nay bhi unse naraz rehnay ki thaani hay.
Roz o Shab Umr e Rawaan Ki Bus Yeh Kahani hay.
Socha Hay k ab na kabhi Unko Yaad Ayengaya.
Masla TO yeh Hay kay Unko Kese Bhool Payengay.
AnDaz Fatah Ka Magar Chehre Pe weeerani hay.
Dil Hay toota hua Or ankhon se Behta paani hay.
Kehnay ko kehna Chahoon to kuch or boldoon.
is pyar ki kahani ko naya Mor Doon.
Phir bhi is dil ko abhi Awaaz lagani hay..

kia tum nay bhi hum se naraaz rehnay ki thaani hay?