Tu Nay Kaha K Ishq

Tu Nay Kaha K Ishq
Tu Nay Kaha K Ishq Tu Dhong Hai
Tujhay Ishq Ho Khuda Karay

Koi Tujh Ko Us Say Juda Karay
Teray Hont Hansna Bhool Jaein
Teri Aankh Pur Num Raha Karay

Tu Uski Batein Kia Karay
Tu Usko Dekh K Ro Paray

Tujhay Hijr Ki Woh Jhari Lagay
Tu Milan Ki Har Pal Dua Karay

Teray Khuwab Bikhein Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Karay

Tu Nagar Nagar Phira Karay
Tu Gali Gali Sada Karay

Tujhay Ishq Ho Phir Yaeen Ho
Usay Tasbihon Pay Parha Karay

Mein Kahon K Ishq Tu Dhong Hai
Tu Nahi Nahi Kiya Karay
  

Jun, 03 2010     513 chars (4 sms)     3158 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

LiKho To Kuch Aesa Ke Kalam Bhi Rone Pe Majboor Ho Jaye
Her Lafz Mein Wo Dard Paida Kero K Wo Pyar Kerne Pe Majboor Ho Jaye
Sahil udaas Tha K Samadar udaas Tha

Lagta Tha Jaise Sara Manzar Udaas Tha

Loti Falak se to Bari Dilgeer Thi Dua..!!

Ek Khuwab Tootny Pr MuQadar udaas Tha...!!!
hamen pyar ka hisab nahin ata.

unka palatkar jawab nahin ata.

hum hain k unki yad me sote tak nahi,

aur unko sokar bhi hamara khwab nahi ata.
Sub Roshnian muj say Roth gain Yeh kah kar.!
Tum Apney Ciragon ki Hifazut nahi Kartey.!
LaMbE sAfAr mE eK aAshiyAnA hO tUm,


AkElE rAAstOn kA dOstAnA hO tUm,


sOchtE hEiN tUm biN ziNdGi kEiSi hOgI,


q K hAmAri khUsHi kA eK bAhAnA hO tUm..
Daldal Thi Zindagi So Dhansta Chala Gaya,

Main Apni Bebasi Pe Yun Hansta Chala Gaya,

Pehle Dikha Raha Tha Mujhe Manzilon K Khwaab,

Phir Mere Samnay Se Woh Rasta Badal Gaya,

Main Ro Para Tha Jis Ki Judai Ko Soch Kar,

Woh Shaks Mere Haal Pe Hansta Chala Gaya,

Main Khud Lipat Gaya Tha Jisay Dost Jaan Kar,,

Woh Saanp Ki Tarha Mujhay Dasta Chala Gaya,!
Be Panah chahat k baad b hm Usay Pa na Skay ''faraz''

kisi khushnaseeb ne Usy Apni Berukhi Sy jeet Lia
KhuD Piyaas Ka SehRa Hon MaGaR DiL Ki Ye ZiD HaI.!

HaR DashT PaR Sawan Ki TaRha TooT Kar Barsoon~~
Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhon Main Aa Betho


Woh Berson Main Kabhi Bersey Yeh Berson Sey Barasti Hain
kuch Nahi chaiye Tujhse Aye meri Umre rawaan





mera Bachpan mera jugnoo meri Gudiya la de
Ab Ki Bar Khud usey azad Kr K Dekta Hon
Mujse Juda Ho Kr Wo Kidhar Jata Hai
Mere Muqaddar Mein Hai Jane Aisa Kya
Jis Shaks Ko B Chahta Hon Wo Bichar Jata
Kabhi Zindgi ka naam ha Muhabbat.
Kabhi moat ka pegham ha Muhabbat.
Kabhi Muhabbat se milti ha khushi.
Kabhi Gham ki sham ha Muhabbat.
Kabhi Muhabbat aansoun ki barish ha.
Kabhi hansi ka jaam ha Muhabbat.
Kabhi hai Muhabbat Dil ki jalan.
Kabhi Dil ka arman hai Muhabbat.