Bay tahasha hai tujhay yaad kia
Aur bhulaya bhi bohat hai tujh ko
Sari rounaq hi teray dum say hai
Aur teray bikhray huay ghum say hai
Jis qadar
Mainay talluq tera mehsoos kia
Itni gehraayi tu rohoun main hua karti hai
Jis qadar
Mainay teri zaat ko khud main paaya
Itni yaqtaayi kahan milti hai
Faaslay waq''atain kho bethay hain
Doriyaan pheeki parheen
Itni shiddat say tujhay socha hai
Itni shiddat say tujhay chaha hai
Shiddatain ishq ki miraaj hua karti hain!!
is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata
Yu yaad na karke saza na dijiye
Jane kya mujhse zamana chahta hai,
mere dil ko tod kar muskarana chahta hai,
jane kya baat jhalkti hai mere chehre se,
k har shks mujhe aazmana chahta hai
Jab say teri chahJab say teri chahat at apni zindagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai
Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka