Koi ehsaas bhi usko yaad

Koi ehsaas bhi usko yaad
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
  

Jun, 05 2010     482 chars (4 sms)     2005 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

“Fiza mein mehekthi shaam ho tum,
Pyar mein jhalaktha jaam ho tum,
Tumhe dil mein chupayee phirte hain
Aai dost meri zindagi ka dusra naam ho tum
Sath rahte rahte youn hi waqt guzar jae ga

Door hone k bad kon kise yaad aae ga

Je lo ye pal jab hum tumhare sath hain.

Kal ka kia pta waqt kahan ley jae ga,
Monjmind Khoon Mein Hulchal Kar Dey
Muj Ko Cho Aur Mukamil Kar Dey

Kitni Piyasi Hai Ye Banjar Ankhein
Aber Zadey Inhein Jal Thal Kar Dey

Main Ney Wo Dard Chupa Rakha Hai
Jo Tery Husan Ko Pagal Kar Dey

Ya Mujy Wasal Aata Kar Malik
Ya Mera Hijer Mukamil Kar Dey
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain
kuch batein an-kahi si rehne do,
kuch batein un-suni si rehne do,
sub batein agar keh dain dil ki,
sub batein agar sun lain is ki,
to phir kiya reh jaye ga,
aik ojhal beqali si rehne do,
aik rangeen un-bani si duniya main,
aik khirki un-khuli si rehne do...
Ujlat main likhay gae chand alfaaz ko ager aap khat samjhti hain to muje aap ka khat mil gya :)
Hm Adhuri aziYat k Giriftar musafir. . .



paon B Shal hain,



shok-E-safar B Nhi jata...
Meray yaar jaisa koie nahi ,
Meray pyar jaisa koie nahi ,

Dehko meray yar ki mohabbat
meri lush ko dehk nay kya liye un kya pass waqt yehi nahi...
mere zakham abhi bhare nhi
main dawa keron k dua keron

apne zakham ka merham keron
ya tere vaar ka intizaar

koi or de mujhe naya zakham
main zakhmon se hi saja keron
Umar Se Insan Badal Jate He

Waqt Se Tufan Badal Jate He

Sochte Hai Aapko Itna Yaad Na Kare

Lekin
Aankh Band Karte Hi
Armaan Badal Jate He
Dost Ik Saahil Hai Toofano Ke Leye,
Dost Ik Aaaina Hai Armano Ke Leye,
Dost Ik Mehfil Hai Anjano Ke Leye
Dosti Ik Khawisht Hai Aaap Jaise Dost Ko Pane Ke Leye!
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi

Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Zarurat Nahi