Kash kay main musavir hota

Kash kay main musavir hota
Kash kay main musavir hota
Teri ik tasveer banata

Qos-o-qazah kay rang chura ker
Tere chehrey ki zeenat banata

Teri maang sitaroon say sajata
Nazar na lagay tujhay kisi ki

Tere rukhsaar pay siyaah til lagata
Kayee kayee peher tujhay takta rehta..!!!
  

May, 27 2010     262 chars (2 sms)     4047 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Yu Lagta Hai Ki Sirf Chalte Rahne Ki

Dhun Mein Is Safar Ke Maayne Kahin Kho Gaye Hain.

Bas, Chale Ja Rahe Hain

-Kabhie Aadatan,

Kabhie Majbooran
kab tak rotey raho gay apni kismat per dost.

yahan tu phool be rukh badal letey hain aksar shaam k bad.
~~Eid Special~~

Raste Torr K Jane Wale
Mujhe Chor K Jane Wale
Ab K Eid Pe
Mujuhe Jitne Card Mile Hain
Sab Se Pyara
Sab Se acha
Pehla Card Tumhara Hai
Mujhe ko Chor K Jane Wale
Zara Kaho To Yeh Kisi Aur Ishaara hai
mast nazron se dekh lena tha
agar tamanna thi azmane ki
hum to yuhi behosh hojate
kya zarurat thi muskurane ki
Apne asool yun b kbhi torne pare,
uski khata thi hath mjhe jorne pare...

Aya na jb qarar dil-e-beqara ko,
tu yadoon k rukh mjhe tmhari taraf morne pare...

Unko tu meri yad b na i bhool kr,
apne parae jn k liay chorne pare...

Wo shakhs bara ba-asool tha,
apne asool jis k liay mjhe torne pare.......
gamon se bhari hai zindagi yaron MERI...
kis aik ghum ko yad ker ke ashq bahoon main...
junoon-E-ishQ ka hAsil,


sar-E-Aalam hAi ruswai,


judai mujh pe hAsti hay


wafAin Bain karti hAin.
Pehchaan nahee''n hay...


Rango''n ki mujh ko...


Mai''n is nai''mat say aari hoo''n...


Kyu''n-k mai''n nay ab tak...


Us k che''hray ki...


Qaus-e-qazah k rango''n say aagay...


Koi rang nahee''n daikha...!
Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge
AHL-E-DIL Youn bhi nibah lete hain,

Dard seene mein chupa lete hein,

Dil ki mehfil main ujaalon k liye,

Yaad ki shama jala let hain,

Jalte mausum main bhi ye DEEWANE,

Kuch haseen phool khila lete hain,

Apni aankhon ko bana kar ye zubaan,

Kitne afsane suna lete hain,

Jin ko jeena hai Mohabbat k liye,

Apni hasti ko mita lete hain,

AHL-E-DIL youn bhi nibah lete hain,

Dard seene main chupa lete hain...
ankhon main intzaar k lamhaat soonp ker.
neendain bhi le gaya hai wo apne safer k sath.
Dil ki dhadkn ruk si gayi hai...
Saase meri tham si gayi hai...
Pucha tha dil ke doctor se humne..
Pata chala is dil mai aapki yaade jam si gayi hai...