Nadaani mein hum

Nadaani mein hum
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
  

Jun, 07 2010     189 chars (2 sms)     3271 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!
Teri yaadon mein khoya raheta hai dil,
Abto sambhale bi nahin sambhalta yeh dil,
Ishq main aisi thokar khayi hai dilne,
Ke abto ishq ke naam se bi darta hai dil....
Chup Rehte To Dum Ghut-ta Aur Dard Zada Hota
Kuch Moo Se Nikal Jata Tou Koi Khafa Ho Jata
WO Jab Bhi Zaara Rotha Chup Behte Rahe Hum Bhi
Aik Baar Mana Lete Tou Roz Khafa Hota
Houslay Zindgi K Dekhtay Hain..

Chalo Kuch Roz Jee K Dekhtay Hain..

Barishon Say To Pyas Bujhti Nahin..

Aao Ab Zeher Pee K Dekhtay Hain.../
Aashk Ban Kr Ankho Se Behte Hai

Behti Ankho Se Unka Deedar Karte Hai

Mana K Zindgi Me Unhe Pa Nahi Sakte

Fir B Hum Unse Bahut Pyar Karte Hai
kitni mushkil se muhabat ka hova hai aaghaaz...

kerwatein leti hai kiun khwahis-e-anjaam abhi...!!
Kash k hum sambhal jate aaghaz-e-ishq se pahle.

dil tu bacha hai wo kub kisi ki sunta hai...
Chalo Yeh Farz Karte Hain,
K Tum Mashriq,Main Maghrib Hoon!
Chalo Yeh Maan Lete Hain,
Bara Lamba Safar Hai Yeh,

Magar Yeh B Haqiqat Hai,
Tumhari Zaat Ka Suraj,

Bohat Sa Raasta Chal Kar,
Meri Hasti Mein Doobay Ga.
ager kisi se bichrna itna asaan hota to...

jism se rooh ko leney frishtey kabhi na aatey...
Khafa hona mana lena

Ye sadiyon ki riwaayat hai

Muhabbat ki alaamat hai

Gilay shikwey karo mujh se

Tumhein iss ki ijazat hai

Magar ik baat meri yaad rakhna

Hawaein rukh badlti hain

Khizayein lout aati hain

Khatayein ho hi jati hai

Khafa hona bhi mumkin hai

Khata hona bhi mumkin hai

Magar yoon haath se daaman churaya nahi karte

Taluk root janey se kabhi toota nahi kartey.
Kabhi Kisi Se Zikar-E-Judai Mat Kerna
Iss Dil Ki Kabhi Ruswai Mat Kerna
Jab Dil Uth Jaye Hum Se To bata Dena
Na Bata ker Bewafai Mat Kerna
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hai,
meri har aah har dard samjhti hai,
pata hai majbur hai tu aur main bhi,
phir bhi aankhen didar ko tarasti hai