Wo Aankhein

Wo Aankhein
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon
  

Jun, 03 2010     605 chars (4 sms)     3196 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hum cheen lenge tumse ye shaan-e-beniyazi.

tum mangte phiroge apna guroor humse.
Wo Mudaton Baad Mila Aur Mera Naam Bhool Gia

Jaate Hue Jis Ne Kaha Tha Tum Yaad Bohat Aao Ge
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan , , ,


Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshan , , ,


Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main , , ,


Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan . . .
Ajab rishta hai meray or us k darmyan

Mian us ka kuch b nahi or wo mera sub kuch hai
Yad me unki jal rahe hai

dur reh k vo mujse kya kar rahe hai

jagi to kai khwahishe mann me meri

unhi khwahisho ko zehar banaa k mar rahe hai
ansoo palkon se choot jate hein,

jub sahare toot jate hein,,

kuch smajh mein nai ata,.

hum kehte b kuch nai!!

per log hum say rooth jate hein.
Shikwe kiye bouhat zamane se
Apni zaat se bhi kiye hote kash

Akatah kar liya sarre zamane ko
Apni zaat ko bhi kar liya hota kash
mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
KIa QISmaT HAi MERi kIa RaAb Ko MAzOr hai;;;
Ek ZinDagi Hai merI jO BeRanG BenoOR hai .....
haR Cahat Adhuri HAr SApna AdhurA!!!!!



IK MOhabaat hai Meri JO MIL kar b doooor Hai""!!!
Rishtoon ki yeh Duniya hai nirali
Sab Rishtoon se Pyari hai dosti tumhari
Manzoor hai Ansu b Ankhoon main hamare
Agar a jaye Muskaan hout pe tumhare
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Aaj fir dil hai kuch udas udas,
jane kyu ek mayusi si chhayi hai,
aaj fir palako pe pani hai,
bhid me hu fir kaisi ye tanhai hai.