Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai
Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai
Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai
Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom "Sameer"
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai...............
Dil Main Har Raaz Daba Kar Rakhte Hain
Hontoon Per Muskurahat Saja Kar Rakhte Hain
Yeh Duniya Sirf Khushi Mein Saath Deete Hai
Iss Liye Hum Apne Aansoon Ko Chupa Kar Rakhte Hain
Jab piyar karna seekh liya,
tou piyar nibhana bhi seekh liya,
jab aaye aapki yaad tou,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se key koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..
Teri Qurbate''n b sarab hyn, ye bhala hua k mili nhi
Teri duriyan b azab hyn meri dasht-e-jaan sy tali nhi
Pas-e-chashm-e-num zarur hy mera dil wafaon sy choor hy
Meri manzilon
ka Qusoor hy, tery raaston se mili nhi