Tu Yaad Bohat Aaya Har

Tu Yaad Bohat Aaya Har
Tu Yaad Bohat Aaya Har Sham Kay Baad,

Kabi Aaghaz Se Pehle Kabi Anjam Kay Baad,

Iss Doobte Sooraj Ki Qasam Iss Dil Pay..

Koi Naam Nahi Likha Tere Naam Kay Baad..!
  

Jun, 02 2010     172 chars (2 sms)     2802 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Is se pehle ki dilo me nafrat jaage,
aao ek shaam mohabbat me bita di jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye
Aqeedat Aur Hoti Hai, Murawwat Aur Hoti Hai

Mohabbat Jis Ko Kehtay Hain, Wo Naimat Aur Hoti Hai

Qayamat-Khez Manzar Jo Hazaro Hum Ne Dekhay Hain

Jo Dil Pe Toot-ti Hai Wo Qayamat Aur Hoti Hai

Maheeno Baad Milnay Ki Khushi Apni Jaga MOHSIN

Wo Zalim Jab Bicharta Hai To Halat Aur Hoti Hai... ;->
Zabt-e-gham is qadar aasaan nahi hay Faraz ...

Aag hote hain wo Aansoo jo piye jate hain.!~
mohabbat aizaaz ki terha wasool ki jati hai.
khairaat ki terha jhuk kr uthai nahin jati...
Dhoonda karogay Ek Roz Mere Khaloos ko Aey Dost....



So Jaonga Kisi Roz Main Zameen Oorh Kar.
mahfil na sahi tanhai tu milti hai
milan na sahi judai tu milti hai
kon kahta hai muhabbat mian kuch nahi milta
wafa nahi sahi bewafai tu milti hai
kya tareef karu aapki, Jeet
Aap shabdon mein kahan sama paoge

Bas itna jaanlo ke jab bi baat chalegi Dosti ki
Meri aankhon mein aap hi nazar aaoge.
Meethi neend Meethe khwaab,
Ho Gaya savera ab to jago janab.
Chand bhi chup gaya fir rat K intezar Me,
1 naya din shuru karo apni manzil ki talash Me.
Dil bohot udas hay
Woh baarguzre waqt
Ka nazar k aas paas hay

Wohi hawaa wohi fazaa
Jo tu naheen to kiya maza
Khile to hain chaman magar
Na rang hay na baat hay
Dil bohot udas hay

Kahan falaaa kahan zameen
Mileen ge hum yaqeen naheen
Yeh pyaar ki hay intaha k
Phir bhi teri aas hay
Dil bohot udas hay

Nazar nazar hikayaten
Nawazishen inayateen
Bohot hay yeh mere liye k
Tu wafa shanaas hay
Dil bohot udas hay
Teri chahat ki girhain kholta hun
Sar e masrgan sitaray tolta hun

Meiri sanson me teri khushi hy
Mein tanhayi me tujh se boltahun

Dhadkanay preet me tez hoti hain
MOHABBAT ke phool ko piyar se khilata hun

Chum leta hun labon ko chah me
Youn khud ko madh hosh karta hun
"Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye"
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi honto se sunaye ga to neend aye gi.