Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya
tum aao na aao hum to bulayengey,
tum bhula do hum na bhula payengey,
tumhe haq hai bhula do humari dosti ko,
humne dosti ki hai her hal mey nibhayengey..
bus ik han k intazar main raat yunhi guzar jaey gi
ab to uljhan hai saath meray neend kaha ayey gi
subah ki kiran na janay kon sa sandais layey gi
rim jim si gungunayey gi ya phir pyas adhori reh jaey gi
Is bar bhi barish khoob khob hui aur badal toot k barsa tha galyan koochy jal thal thy par soch ka darya paysa tha band darwazon k shishon pe jab boondon ne dastak di ehsas hua tum aye ho andaz tmhary jesa tha
WO CHup B Rehta Hai To Mujhko sunai Deta Hai
Her Ek Chehray Mein WO Chehra Dikhai Deta Hai
Mujhe B Ronaq-E-Dunya Pasand hai Lakin
Tera Khial Mujhe Kab Rehai Deta Hai