Dil Ney Tnaha Jhaili Raat

Dil Ney Tnaha Jhaili Raat
Dil Ney Tnaha Jhaili Raat
Hijr Ke Raat, Sahaili Raat
Dinn Waley Kub Booj Sakkay
Mushkil Shaam Pahaili Raat
Ikk Safa Ke Tashreehien! !
Chand,chakkor,chanbaili,raat
Din Apney Har Dad Ka Dost
Iss Ke Aik Sahaili Raat
Ikk Sunsan Nagar Har Saans
Ikk Veraan Hawaili Raat
Iss Ka Roop " Harr " Ke Dhoop
Meri Sad Hathaili Raat
Iss Ke Aankh Se Chhalke Sham
Uss Ke Zulf Se Khaili Raat
Muhsin K Anjaam K Naam! !
Hijr Ke Nae Nawaili Raat
  

Jun, 01 2010     438 chars (3 sms)     2559 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Woh mera tha yeh batana ajeeb lagta hai
Ab us say ankh milana ajeeb lagta hai
Jo zindagi mein hamara kabhi bhi ho na saka
Ab uska khuwab mein ana ajeeb lagta hai
Baray khaloos say dawat tu us nay bheji hai
Par uski bazm mein jana ajeeb lagta hai
Tha jis ka hath kabhi hamaray hathon mein
Ab us say hath milana ajeeb lagta hai
hay ishq k maaron ka itna hi fasana hay
ronay ko nahi koi hansnay ko zamana hay
yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain
tujh ko dekhain to tujhey dekhney aaney lag jaaein

qurb achha hey magar itni bhi shiddat se na mil
ye na ho tujh ko merey rog puraanay lag jaaein
Mein mar jao yeh us ki
dua hai...

FARAZ

Or us ki har dua kabool ho
yeh meri dua hai...
wo roye to bht pr mjse moo mor kr roye,

koi majburi hogi jo dil tor kr roye,

mere samne kr diye meri tasvir k tukre,

pta laga mre piche wo unhe jor kr roye!.
jb ksi bhule hue dukh pe nazar per jae
ashk ho jate hn aankhon se rawan sham ke bd
Dilo Ko Khridne Wale Hazar Mil Jayege
Aap Ko Daga Dene Wale Bar-Bar Mil Jayege
Milega Na Aapko Hum Jesa Yar Koi
Milne Ko To Dost Beshumar Mil Jayege
"Ek hi din me begaane ho Gaye. kal tak haqeekat the, ab afsaane ho Gaye. shayad tujhpe mar mittne ka hi junoon hai, ke tere is sitam ke bhi hum deewane ho Gaye"
hasee''aankhon ko parhne ka abi tak shoq hai mujh ko...

mohabbat main ujarr kar bhi meri aadat nahin badli..
dard meetha ho to ruk k kasaq hoti hai"mir"

yaad gahri ho to tham tham k qaraar aata hai.
Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
Mita De Faasle Ke Majbooriyan Achi Nahin Lagti
Aa Bhi Ja Ke Tujh Bina Zindagi Achi Nahin Lagti
Mat Ker Jhoote Waade Ke Tasaliyan Achi Nahin Lagti
Aa Bhi Ja Ke Tanhaiyan Achi Nahin Lagti
Mujhe Roshni De Ke Tareekiyan Achi Nahin Lagti
Aa Bhi Ja Ke Bechainiyan Achi Nahin Lagti
Band Kero Yeh Mohabbat Ki Baatein
Ke Muj Ko Yeh Kahaniyan Achi Nahi Lagti