Kabhi apne dil se bhi

Kabhi apne dil se bhi
Kabhi apne dil se bhi baat kiya karo
kabhi dil ki dhadkanon ko mehsuus kiya karo
rehte hai hum aap ke jism me dil bankar
kabhi apne dil par bhi hath rakh liya karo
  

Jun, 04 2010     167 chars (2 sms)     2765 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

us nay meray seenay per sir rekh ker poocha
jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay mil saktay hain sabhi sitaray
daryaon k saray moti
sawan ki pehli barish k saray qatray
ujlay chand ki sari kirnain
dharti k seenay sa liptay sabhi khazanay
saray mousam sabhi duayen
phoolon ki rangeen qabayen
patti patti pernay wali bheeni shabnam
ism-e-azam
us nay meray seenay pe sir rekh k poocha
jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay sub kuch apna,sub kuch,sub kuch
apna sub kuch day saktay ho
ma nay us ka maatha chooma or bola jub
pehli bar meray seenay pa tum nay apna sir rakha tha
ped se patte girte hai
udhanewala koi nahin
pyar toh sabhi kartain
lekin nibhanewala koi nahin
apni to wo misaal hai jesay koi darakht,
dunya ko chhaon bakhshay aur khud dhup main jalay...
mili hawaon mai urrny ki wo saza yaro

k mai zameen k reshtoon say kat gya yaro

wo bekhyal musafir, mai rasta yaro

kahaan tha bus mai mery us ko rokna yaro

tmam shehr hi jis ki talash mai gum tha

mai kis say pochta us k ghar ka pta yaroo
Ye share main ne lekha hai Pls batana k keysa laga......

""Kitna Jald log bdal jate hain "Ali"

Hum to guse me b adaat bdal na sakay""
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
ye mujhy chain kayon nahi ata.

aik hi shakhs tha jahan main kya?
kash k ab k bars wo ye keh dy...

aao k mein tanha hon,teri trha,tery liye....
Mainey kaha woh ajnabi hai

Dil ne kaha ye dil ke lagi hai

Mene kaha woh sapna hai

Dil ne kaha phir b apna hai

Mene kaha woh do pal ke mulakat hai

Dil ne kaha woh sadiyo ka sath hai

Mene kaha woh mere Haar hai

Dil ne kaha ise ka naam to "PYAR" hai
Wo Naam Tha Badal Gaya
Mein Sham Tha Dhal Gaya
WO Nazar Tha JhuK Gaya
MeiN tehreer Tha Mit Gaya
WO Shama Tha Pigal Gaya
Mein Perwana Tha Jal Gaya
Wo Ashk Tha Beh Gaya
Mein Dard Tha Seh Gaya
WO Chand Tha Chuup Gaya
Mein Badal Tha Baras Gaya
WO Tofan Tha Guzar Gaya
Mein Gulshan Tha Bikher Gaya