Apne pyar ko chupana

Apne pyar ko chupana
Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake
  

Jun, 04 2010     152 chars (1 sms)     3283 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

JIS NAZAR SE DEKHTE RAHE IS DUNIYA KO HUM,
UN AANKHON MEIN HAMARI KOI PEHCHAAN BHI NAA THI
Ik chand tanha khara raha
Mere aasamn se zara parey

Mere saath saath safr mein tha
Meri manzilon se zara parey

Teri justju k hisar se
Tere khawab Tere khayal se
Mai wo shaks tha jo khara raha
Teri chahton se zara parey

Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi to wo bhi dabi dabi
Mere lafz poorey to thay magr
teri sma`aton se zara parey

Tu chala gya mere hamsafr
Zara dekh murr k to ik nazar
Meri kishtiyan hain jali hoi
Tere sahilon se zara parey
Tum jo her baat pay daitay ho prindon ki misaal...

Is ka matlab hai tere shehr say hijrut ker lon?
Jab apne aap se kat ker jiya hoon jaan-e-Fareed
To phir main tujh se taaluk bahaal kya kerta

Jise badan ki nahin pyaar ki zaroorat thi
Woh badnaseeb tere khad-o-khaal kya kerta?
Farz kar lo kh hum mile hi na thy.
Tum ne hum se wade kye hi na thy.
Ye muhbat tu ek dhoka thi.
Tum ne chahat se hath thamy hi na thy.
Tu tu ek wafa ka pekar hai ae sanam.
Teri zaat main ghum hi na thy.
Manzil or rasta muhabt ka ek tha.
Kash k raste main hum male hi na thy.
Dil tu ek bacha tha ae janann.
Ek dosre ko chahte hi na thy.
Jate lamhy dono k ansu thy ankhon main.
Aghaz muhabt main hans kar male hi na thy.
Kal jo hume hassen or sub se payra lagta.

aaj wo hi qatil-e-jaan sub se bura laga.
Ye unki khubiyon ka asar hai,

jo wo itney ache lagte hai,

Jab wo kehte hai ki waada hai mera,

Jhoote wade bi sache lagte hain.
Mere Din Raat Mushkil Mein,
Sukoon Ek Pal Nahi Mujh Ko...
.
Mohabbat Taras Kha Mujh Par Mohabbat Chorh Ja Mujh Ko....
Aik mudat k Pyasay ko Fakat Aik he jaam

SaQi Teri Tang dasti mujay Yaad rahay Gi.
Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan “Hamsafar” Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota
WO CHup B Rehta Hai To Mujhko sunai Deta Hai
Her Ek Chehray Mein WO Chehra Dikhai Deta Hai
Mujhe B Ronaq-E-Dunya Pasand hai Lakin
Tera Khial Mujhe Kab Rehai Deta Hai
Khaab mai bhi gar tumhe kho dete hain,
judaai ke khayaal hi se ro dete hain,
ye ab jaa kar jana humne..
log muhobatt mai jaan kyo dete hain...!