Meri ammi ko bulaa de koi
Warna mujhko hi sulaa de koi
Mujhko bistar ki to aadat hi nahin
Apni godi main jhulaa de koi
Shayad aa jaayen wo rona sunkar
Mujh ko bewajah rulaa de koi
Mainey kaee roz se nahin khaya
Us mohabbat se khilaa de koi
Mujhko khwaahish nahin miley duniya
IS ZAMANE SEY NA HUM KOI GILAA RAKHAIN GAY
DIL LAGAYEIN GAY TO NA SHART-E-WAFA RAKHAIN GAY
NA DIKHAYAIN GAY KABHI DIL PE LAGE ZAKHM
UNHAIN DARD UTHEY GA MAGAR DIL KO DABA RAKHAIN GAY
JAAN DE DAINGEIN AGAR AIK ISHAARA KAR DE
HAM USEY APNE LIYE BHI NA BACHA RAKHAIN GAY
SAB HATA DAINGAY TERI RAAH KI RUKAWAT HAMDAM
GHAR KE DARWAZEY KO HAR WAQT KHULA RAKHAIN GAY
UNKI HAR BAAT KO BHOOLEY SE NA BHOOLAIN GEIN KABHI
UNKI YADOON KO BHI SEENAY SE LAGA RAKHAIN GAY
TOOT BHI JAAYEGI UMEED JO TERE AANAY KI "SAQIB"
EK DIYA PHIR BHI HAWAAON MAIN JALA RAKHAIN GAY
Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay
Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay
Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay
Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay
Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay
chamun, gulzar, baghaat bhi koi sajata he
in me kalion aur phoolon ki mehfil khuda lagata he
in kalion aur phoolon se barh kar tum sahi
bhala itna chahnay wale ko bhi koi tarpata he..
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai