Un he lafzoan k aasq bunty hien

Un he lafzoan k aasq bunty hien
Un he lafzoan k aasq bunty hien
Jo zuban say ada nahe hoty
  

May, 28 2010     59 chars (1 sms)     2102 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum kabi na meri azmaish kr sko gy,

jan se ziada kia frmaish kr sko gy,

pyar krty hain itna jitna samandr me pani,

kia samandr ki pimaish kr sako gy.
Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle
Kuch ajab rang se guzri hai zindgi apni,

Dilon pe raj kia or muhabton se mehrom rahe,

Hum wafa kr k b ban gaye mujrim,

Wo daga de k b masoom rahe...
kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
umer bhar karte rahe talash manzil ki...

dhool chahre pe thi hum aiana saaf karte rahe.
Bichad kar tujhse zinda hoon meri taqdeer to dekho


Kabhi aakar mere haalat ki tasveer to dekho


Deke pyaar ki Daulat kharide hai aanshu maine


Mili Jo ishq main humko zara jaagir to dekho


Usne mujhe mehfil main dekha to kaha Rakeebo se


Mera Aashiq , mera pagal mera deewaana to dekho.../
Us Ne Poocha Ye Qayamat Kia Hy?

Main Ne Ghabra Kr Kaha "Rooth Jana Tera"

Maut Kehte Hyn Kisey Jab Mjh Se Poocha

Main Ne Aakhe''n Jhuka Kr Kaha Chorh Jana Tera
Agar zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
koi dukh na ho
koi ghum na ho
koi ankh kbhi num na ho
koi dil ksi ka tory na
koi sath ksi ka chory na
bus payar ki nadiya behti ho
KASH K DUNYIA ASI HO......;->
Us nay mujh say kaha
meray saathi!
tum ko mujh say jo hay gila ....kiya hay?
kabhi fursat milay tu socho,
manzilain kion hain? fasla iya hay?
apnay apnay safar pay niklay log
mushtarka raston pay chaltay hain
hamrahi kay hisar main jitnay
din nikaltay, chiraagh jaltay hain
apni apni umeed kay dar-o-baam
zindagi kay safar main miltay hain
mutaqil dard, aarzi aram

tum meray hamsafar tu ho lekin
hum kahin say bichar bhi saktay hain
dair tak aik taweel rastay par
saath tu ajnabi bhi chaltay hain!!!!!!!
Dil or dunia main sirf itna fark hai
k is duniya main bohot sai log rehtay hain
or is dil mai sirf app....
jab chotay thay tab baray honay ki bari chahat thi,
par ab pta chala k

"adhuray ehsas or tutay sapno se,
adhuray homework or tutay khilonay achae thay...!