FoR My All LoVeLy FrIeNdS :-)

FoR My All LoVeLy FrIeNdS :-)
FoR My All LoVeLy FrIeNdS :-)

¤Jis din band karli Mein ne aankhen.

Us din tumhari ankho se Aansu Barsen ge.

Jo kehte hai k bOhat tang karta hon Mein...!!

Wohi Meri 1 shararat ko Tarsenge.
  

May, 28 2010     200 chars (2 sms)     2748 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Laakhon sitam tu karle na hum ko shikayat ho,
Bas teri dadkano mein sirf meri mohabbat ho,
Chahe rahe tu door chahe kareeb aaja,
Lekin tujhe chune ki sirf mujko ijaazat ho..
yeh to hai apnaa apnaa hausla apnii apnii u’Daan hai
koi u’D ke rah gayaa baam tak,koi kahkashaa’n se guzar gaya
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan , , ,


Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshan , , ,


Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main , , ,


Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan . . .
Kahani dard ki main zindagi se kya kehta

Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta

Gila to mujh ko bhi karna tha piyaas ka lekin

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta

Mere aziz hi mujh ko samajh na paye kabhi

Me apna haal kisi ajnabi se kya kehta

Andheri raat ne mujh ko bohat sataya hai

Bhala ye baat mein ab roshni se kya kehta.

Tamaam shehar mein jhoot ka raaj tha''WASi''

Mein apne gham ki haqeeqat kisi se kya kehta....
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad.
Wo Paas Aate To Hum Baat Kar Lete

Wo Saath Rehte To Pyaar Kar Lete

Kya Majburi Rahi Jo Wo Chale Gaye

Wajah To Batate Hum Intzar Kar Lete
Abhi To Zid Hai Unhein Rasta Badlne Ki.


Woh Roein Ge Bhi Bohat Meri Chahtoon Ke Liye..
Mujhy ilam Tha Shikast Mera Naseeb Hai..

Tu UmeedwAr Tha Jeet Ka Tera KYA Bana..
Urooj par hai Tumhara Mosam,

Khizaan main Tum ko Khareed lengay,

Bano gay Hum say Reham K Talib,

Na Tumko Mohlat Mazeed dengay,

Adaa K Qissay hwy Purany,

Jafa ka Mousam Khatam hi samjho,

Karengy Tum say Hisaab jana,

Na Tum ko Mohlat Mazeed dengay,

Wafa ki Lalach main Hum nay Jana,

Khoon apna JALA diya hai,

Faraib-o-Masti K Badlay Tum ko

Saza bhi Sun lo Shadeed dengay,

Urooj par hay Tumhara Mousam,

Khizaan main Tum ko khareed lengay.
.
=> Tanveer Z. .
Ajab rishta hai meray or us k darmyan

Mian us ka kuch b nahi or wo mera sub kuch hai
Mila kro hamain Aksar k Jee nahi lagta
Tumharay Rabtay se Zindagi Wajood main Rehti hai
Meri Aankho''n K Jaadu Se
Tum Na-waqif Ho

Main Usay Pagal Kr Deta
Hoon Jis Pe Mujhy Pyar Aa Jaye ...