Suna hay ab kay woh udaas rehti hai,

Suna hay ab kay woh udaas rehti hai,
Suna hay ab kay woh udaas rehti hai,
Us se kahon kay woh udaas na ho Kion kay!

Us ki udaasi k sath,
us ki aankhain bhee Num num si lagtee hain,


Us k honth bhee Chup chup say lagtay hain,
Us k yeh chup honth or num aankhain,


Meree kamzori hain,
Us se kaho!

Woh udaas na ho,
Jo woh chahti hai,

mujh se lay lay,
Be shak Chahay mujhay na,

apne munn pasand sathi k sang ho jaye,
Kion kay!

Us k udaasi meree kamzori hai
  

Jun, 02 2010     446 chars (3 sms)     3497 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aziyyat , maseebat , mlamat , balaein
Tere ishq mein hum ne kia kia na dekha
TUMHARI RAH GUZER KO SAJA DIA MAIN NE
JALA K KHUD KO ANDHAIRA MITA DIA MAIN NE
TAIRI KHATA HA NA SHIKVA MUJE ZAMANE SE
YEH DIL TO APNE HI HATHOON LUTA LIYA MAIN NE
meri zaat main kahen na kahen wo apna wajood chhor gaya hai...

yon hanstay hanstay ro dena meri aadat kabhi na thi..
JuB Main Chotaa BacHa Tha
ChanD Ko Dekh Kay Ro Deta Tha
Apni Ammi Say Kahta Tha
ChanDa Paas Bula Do Ammi
Mere Sath Sulaa Do Ammi
Lakin Ab Main Soch Raha Hun
Aur Tou ArshaD Sub Hota Hay !
ChanD Kisi Ka KuB HotA Hay
Guzar jain ge un k wo pal achey,

jinay hum intizar aur wo waqt kehty hain,

kia pata kon bhool jaye ye muhabbat,

jisay hum zindagi aur wo 1 lafz kehte hain
Niqaab ko Be-Niqaab kar de
Hijaab ko Be-Hijaab kar de

Qasam hai Tujh ko Masoomiyat ki
Namaz-e-Fitrat Kharab kar de

Wo Qais hi tha jo Ulajhta raha
Jaib-o-Daman ki Dhajjiyon se

Mai us Junoon ki Talash mai hoon
Jo Chaak Tera Niqaab kar de

Tere Karam ke Ma''amley ko
Tere Karam per Chorta hoon

Meri Khataein Shumaar kar k
Meri Saza ka Hisaab kar de
bechain main na jaane kya chahti hoon

bechain main na jaane kya chahti hoon
shaayad apne dil ki gahraayee paanaa chahti hoon
lekin sab ke liye anjaan main
aaj jaan payee hoon
ki main khud se bhi anjaan hoon
isiliye
apne dil ki kasak ko mitana chahti hoon
apni bechain saanson ko sametna chahti hoon
lekin kaise shaayad yahi janna chahti hoon
Bojhal nazar aati hain Bazahir mujy lekin
Khulti hain Boht Dil mein Utar kar Teri aankhein

ab tak Meri aankhon se Mitaey Nahi Mit''ta
bheegi hui Shaam ka Manzar Teri aankhein...!!
Akser ye sochte hein akeyle mein beth kar,,

jab tum the mere sath who lamhe kidhar gaye.
Ab Khwabo Main Rishte Banata Hun,

Tere Daman Ko Or Kareeb Pata Hun,

Raahein Ulfat Muskil Hai Magar,

Teri Yadon Se Apni Saanse Chalata Hun!
Kisi ko mil jati hai rangeen baharen,
kisi ko chaman nahi milta,
kisi ke kabar par banta hai Tajmahal,
aur kisi ko kafan nahi milta.
Tere na hony se !!
Shayed.....
Zindgi to kut jaye gi
Haaan.....
Tukron main but jaye gi !!