mugh per kion istrah se hhansta hai
dil bari mushkalon se basta hai
mery gaon ky sab ghar kachy hain
arey badal kahan barasta hai
jo kabhi laut ker nhn aye
un se milny ko dil trasta hai
ashqi ka maqam kia ho ga
jahan ulfat ka bhao sasta hai
meri manjzil jisy smgh bethy
meri khwahison ka rasta hai
dost kehti ho kion us ko mahrukh
jo tughy her qadam per dasta hai
Khud rooth’tay ho zra c baat per magar
Koyi roothay to usay manaaya bhi karo
Aur ki ghalati per hai teri nigah-e-tanqeed
Apnay kisi aitraaf per nigah jhukaaya bhi karo!!!
Ishq ki log ye aksar hi saza dete hain,
Chahane walon ko apne wo bhula dete hain,
Husn paband wafa ka nahi hota hai Amad,
Apne hi jeson ko wo dil main jaga dete hain.
kuch log khatoot ki tarha hoty hain
k bar bar parhney ko dil karta hai
or kch log ashkon ki tarha hoty hain
k sijdy me sir jhukaty hi ankhon se tapak party hain