Baarishon ke mausam

Baarishon ke mausam
Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge

Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri

Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai

Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi

Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab
  

Jun, 03 2010     464 chars (3 sms)     2500 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kahan se aati hai Hichkiya,

kaun Fariyad karta hai.

Khuda usey Hamesha Salamat rakhe,

Jo HUME pyar se yaad karta hai.
Aao Kabi Khud Chal K Ghar Hamare
Dekho Kitna Yaad Karte Hain Tumhe

Kabi Ake Dekhlo Tanhai Me Halat Hamare
K Kitna Pyar Karte Hain Tumhe
Kitabe dil pe likhte the kitne he afsane!
Kuch kissey naye the or kuch purane.

Kuch unka jikar jo labhi rang-e-jaan se the karib,
Kuch voh jo aye bhi lagte hai begane.

Kuch aise rut, koi mausam aya,
Khushiyo bhare geet lage gun gunane.

Ajj bhi mera dil iss aas par jinda hai,
Ki ek roz to ayegi vo hum se manane
Urrti rehti hai 1 gard mujh may.....!
Kon phirta hai dar''badr mujh may.....!
Mujh Ko mujh may jagah nahi milti.....!
Wo hai mojood is qadar mujh may....!
Ajab rishta hai meray or us k darmyan

Mian us ka kuch b nahi or wo mera sub kuch hai
Chora Hai Mere Yaar Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Hasna Chor Doon
Loota Hai Duniya Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Yeh Nahi Ke Jeena Chor Doon
Thukraya Hai Apnon Ne Mujhe Bhi
Is Ka Matlab Ye Nahi Ke Chahna Chor Doon
Mera apna na tha koi mere siwa.

Main ne chaha kisi ko, na chaha gaya..

Main ne jitne mohabbat bhare khat likhe

Un pe apne hi ghar ka pata likh diya
Zindagi ki raahon pay bohat sy yaar milein ge,

Hum keya hum say b ache hzaar milein ge,

In achon me hmein na bhool jana,

Hm konsa tumhein hr bar milein ge
Tere Mere Is Pyar Pe Is Zamane Ka Pahera Hai
Zamana Ye Nahi Jaanta Hamara Pyar Kitna Gahera Hai
Har Waqt Subha Shaam Dostaon Se.
Chahate Huwe Bhi Kiya Zikr Tera Hai
Teri Har Saans Se Milti Hai Zindagi Mujhe
Dhadakta Hai Jo Tere Seeney Me Wo Dil Mera Hai
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Rasm-e-Ulfat hi ijazat nhi daiti warna

hum bhi aisa tumhain bhoolain k sada yaad karo.
Kafan na Pehnao mujhe abhi Muskuraana baaki hai,

Janaaza na uthao mere kisi ki aana baaki hai,

Ke Nazar pher lo Farishto abhi mujse,

Abhi to uska hum se Nazar milaana baaki hai.