fursat mile to hame

fursat mile to hame
fursat mile to hame bhi yad kr liamkr kbi kbi.

bari pur-ronaq hoti hain yadain hm udas logon ki.
  

Jun, 07 2010     100 chars (1 sms)     9667 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Terey Jaisi Aankhon Waley, Sahil Per Jab Aatey Hain
To Lehrain Shoor Machati Hai, Loo Aaj Samandar Dhob Gea
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye….
mere aazmaney wale mujhe aazma k roye…..

jo sunaai anjuman main shab-e-gham ki aap biti….
kuch ro k muskuraye kuch muskura k roye……..

teri kuch adaon pe.. kuch teri bewafaiyon pe…..
kabhi muh chupa k roye kabhi sar jhuka k roye…

mai hun bewatan musafir mera naam bekasi hai..
mera koi bhi nahi jo mujhe galey laga k roye…….

mere paas se guzar kar mera haal tak na pooch….
mai ye kaisay maan lu k woh door jaa k roye….
shikayt thi tum se gila na kar sakay

ijazat nahi zuban ko tere khilaf bolne ki..
Main Use Kse Akela Chor Don Is Rah Mein
Sath jo Chalta Raha Majboriyo K Bad B,

Ban K Khushbu Rach Gae Hai Yon Mere Ehsas Mein,
Dor Ho Paya Nahi Wo Doriyon K Bad B,

Rafta Rafta Us Ko B Ye DuniaDari aa Gai,
Muskra K Wo Mila Hai Ranjsho K Bad B,

Fasle Kab Kam Hoye Hai Raabto K Bad B
Ajnbi Thy Ajnbi Hai Qurbaton k bad b...!
aibtadaay mohabat aunho nay ki
ailzamay mohabat hum pay aia

aizharay mohabat aunho nay ki
ailzam aqraray mohabat hum pay aia

aintayhaay mohabat aunho nay ki
ailzam aintayhaay mohabat hum pay aia
Dhoonda karogay Ek Roz Mere Khaloos ko Aey Dost....



So Jaonga Kisi Roz Main Zameen Oorh Kar.
Wo Suraj Ki Tarah Aag Ugalte Rhe

Hum Musafir Safar Par Hi Chalte Rhe.

Woh Beete Waqt thay,Unhe Ana Na Tha

Hum Saari Raat karwate badalte rahe.
Ao janch letey hn durd k tarazo pr
kisk gham kaha tak hain.
Shidtain kaha tak hn
kuch azez logo se pochna to perta h
aj kal muhabt ki qimtain kaha tak hn
Aj sham ajao khul k hal_e_dil kah lain kon jane sanso ki muhltain kaha tk hn.
Batao wo Aankhe jinme Khwab nhi hai..
Batao wo Dil jisme Armaan nhi hai..
Batao wo Insaa jo pareshan nhi hai..
Ya sirf,batado wo Jameen jaha Aasman nhi hai..
Jab Bhi Sochogi Har Fasana Yaad Aayega,
Kab Ki Thi Kya Baate Wo Zamana Yaad Aayega,
Sukh Jayenge Tumhare Honth Aankh Se Aansoo Nikalenge,
Phir Dil Se Aawaz Dena Ye Diwaana Chala Aayega.
Apni Roshni Ki bulandiyo''n Per Kabhi na Itrana

Chiraag Sab k Bujhte Hain Hawa Kisi Ki Nahi ...
Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi rahi...
Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi...
Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...
Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi rahi...
Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...
Phir yon hua k dard main shidt nahi rahi...
Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...
Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi...
Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...
Khud apne ap se b mohabbat nahi rahi...