Uss naie kaha aao

Uss naie kaha aao
Uss naie kaha aao,
uss naie kaha tehro,
muskraoo kaha uss naie,
mar jao kaha uss naie.
Main aaya,
main tehar gaya,
muskraya,

aur mar bhi gaya!!
  

Jun, 07 2010     153 chars (1 sms)     2364 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zabt Kerty Hain To Ankhon Sai Lahoo Behtey Hain
Shikwa Kerty Hain To Andesha-E-Ruswai Hai
kuch iss tarha se woh mery zindagi main jo shamil hui
apney wajood k lye hum he ajnabi or woh k malik hui
Maana Hoon Gunahgaar De Lo Saza Bhi Lekin.../


Jo Kya Hai Gunaah WOhi Hai Be-Gunahi Meri.../
Nick Name..!!

Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
Kahani dard ki main zindagi se kya kehta

Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta

Gila to mujh ko bhi karna tha piyaas ka lekin

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta

Mere aziz hi mujh ko samajh na paye kabhi

Me apna haal kisi ajnabi se kya kehta

Andheri raat ne mujh ko bohat sataya hai

Bhala ye baat mein ab roshni se kya kehta.

Tamaam shehar mein jhoot ka raaj tha''WASi''

Mein apne gham ki haqeeqat kisi se kya kehta....
Dil ne jab bhii fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai


Yeh bhii khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein jo khoya paaya hai


Tum numaaish liye ho daagon kii
Hamne zakhmon ko bhii chuppaayaa hai


Koii marta nahin kisi ke liye
Hamne duniya ko aazmaayaa hai


Waqt-e-hizraan ya vasl ho ''barham''
Hamne dono mein tujhko paaya hai.../
Zindgi ki rahon mein hum ne sham kar de,

Dil ki her gali tere nam kar de,


Itne bhi na socha kasey katey gi zindgi,

Bus bina sochy hi hr khushi tere nam kar de.=->
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf Paanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein
jab chotay thay tab baray honay ki bari chahat thi,
par ab pta chala k

"adhuray ehsas or tutay sapno se,
adhuray homework or tutay khilonay achae thay...!
Sunday means
S= soEy raho
U= utho dair se
N= na kro koi kam
D= dekhty raho tv
A= aAram hi aram
Y= yad karo sirf
HUMÆ
$o enjoy ur
“$ÜÑDÄ¥”
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
Kuch na kisi se bolenge,
bas tanhai me chup chup ro lenge,
apni to musafir jaisi hai zindgi,
sath kisi ke bhi ho lenge,
ye zindgi ek zahar bhara pyala hai,
kab tak hum isme amrit gholenge,
ab nind to aankho me aati nahi,
chalo jab maut aayegi to ji bhar ke so lenge