Kaha Main Nay Kahan

Kaha Main Nay Kahan
Kaha Main Nay Kahan Ho Tum?
Jawab Aya Jahan Ho Tum...

Mere Jeevan Say Zaahir Ho
Mere Gham Mein Nihaan Ho Tum....

Meri Tou Saari Duniya Ho
Mera Sara Jahan Ho Tum.......

Meri Sochon Ka Mehwar Ho
Mera Zor-e-Bayaan Ho Tum......

Main Hoon Lafz Muhabbat Hoon
Magar Meri Zuban Ho Tum...
  

Jun, 05 2010     297 chars (2 sms)     3197 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jalti bhujti dhoop me sard hawa me rehna seekh lia,
Us se bichar k hijr ka ik ik mosam sehna seekh lia

Sahil sahil takra k jab choor hue to hum ne b,
Darya ki lehron me lehrain ban kar behna seekh lia

Apna dukh bas apna hi dukh hota hai ye jan lia,
Apni aap se apni sari batain kehna seekh lia

Nai nawaili tanhai ki bahain dal k bahon me,
Rat gaye tak nehr kinaray baithay rehna seekh lia...
Sari Haqeqaton Ko Khuwab Kar Kay
Umar Bhar Ki Khushiyoun Ko Sarab Kar Kay
Badal Gaya Hai Woh Chahaton Say
Meri Aadaton Ko Kharab Kar Kay
guzar rahi ha kuch es tarah zindagi jasay........esay kisi ke sahaaray ki aarzoo nahi
itanaa TuuTaa huun ki chhune se bikhar jaongaa
ab agar aur duaa doge to mar jaauungaa

lekar meraa pataa vaqt raayagaa na karo
main to banjaaraa huun kyaa jaane kidhar jaauungaa

is taraf dhundh hai jugnuu hai na chiraaG koii
kaun pahachaanegaa bastii mein agar jaauungaa

zindagii main bhii musaafir huun terii kashtii kaa
tuu jahaan mujh se kahegii main utar jaauungaa

yahaan rah jaayenge guldaano mein yaadon kii nazar
main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa
Us ke cheray ki sanjidgi Batati hai







Us ko Husnay ka shoaq tha pehLE
Mana k Tum Haseen Ho na k is Qadar,
Jitna k Mere Deed ne is Qabil Bana Diya..........

Kerti Hy
Sawalat Musalsal Teri
Nigah

Ye Tarz-e-Takalluf
Mujhy Acha Nahi
Lagta

Kehty Hyn Mujhy
Dekh k Aksar Mere
Ehbaab

Ye Shaks Akela
Hy Par Tanha
Nahi Lagta ...
Aarzo hai wafa ban k taray sath raho
dharkano ki sada ban k taray sath raho
maray honto say JISAY mout bhi na cheen sakay
wo zindagi ki dua ban kay taray sath raho
Ek Baar Aur DaiKh Kar Aazaad Kar De MuJhe...


K Main AaJ Bhi Teri PehLi Nazar Ki Qaid Mein Hoon... ;->

/ . . . JAn|xXx . . . \
Zaroorat Torr Deti Hai Gharoor-o-Be-Niazi Ko,



Na Hoti Koi Majburi To Har Banda "Khuda" Hota.
Abhi To Zid Hai Unhein Rasta Badlne Ki.


Woh Roein Ge Bhi Bohat Meri Chahtoon Ke Liye..
Kabhi yun bhi to ho”
Darya ka sahil ho,Pooray chaand ki Raat ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
Satroun ki mehfil ho,Koi Tumhari baat ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
Sooni her manzil ho,koee na merey sath ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
ye Badal aisa toot k barsey,
meray Dil ki tarha milnay ko tumhara dil bhi tarsey,
Or tum aao….
Kabhi yun bhi to ho
Tanhai ho,Dil ho, Barsat ho, or tum aao. .
Kabhi yun bhi to ho