Mumkin nahi shab-o-rooz

Mumkin nahi shab-o-rooz
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

chahat teri meri deewangi apni jagah
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

Goo kafi nahi pyarr mai lamhoon ka milan
Hota hai ajaam-e-ulfat roohon ka aik hona

Bikhrey hathon ko samait kyon nahi letey
Mushkil buhat hai Urooj-o-zawaal ka aik hona

Aab bhi yaad atey hain beetey hoye pal
Wo zulfon ka bikhrana or nazron ka aik hona

Aik hi hotey hain aksar rastey humarey
ZAROORI NAHIN MAGER, MANZIL KA IK HONA
  

Jun, 05 2010     460 chars (3 sms)     2363 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

US KI BAATAIN TO PHOOL HOON JASAY
BAQEE BAATAIN BABAOOL HOON JASAY
CHHOOTI CHHOOTI SEE US KI WO ANKHEEN DO
CHANMBELII K PHOOL HOON JASAY "
US KA HASS KAR NAZAR JHUKA LAINA
SAREE SHARTEIN QABOOL HOON JASAY
KITTNI DILKASH HAI US KI KHAMOOSHI
SAREE BAATIEN FAZOOL HOON JASAY"
Bina Libaas Aaye Thay Hum Sab Is Jahan Mein

Bas Ek Kafan Ki Khatir Itna Safar Kerna Pada ...
Apki aankho mein Aansu aur chehre pe hasi hai...Wah..waApki aankho mein Aansu or chere pe hasi hai,Aisa lagta hai k aapki Lulli zip mein phasi hai.
guzishta raat uss k hont par ..

jab yeh sawal ubhra ..

muhabbat rutjagay kion maangti hai ?

kion sataati hai ?

to main dheeray say muskaya ..

aur uss k pass say uth kar ..


phir apnay ghar chala aaya ..!!
main tere milnay ko moajza keh raha tha lekin..

tere bicharnay ka saniha bhi kamaal guzra...
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
Aista humara is jahan main sabse pyra ho,

Jese zindagi ko sanson ka sahara ho,


Yaad rakhna humain us pal main bhi yum,

Jab tum akele ho or koi na tumhara ho!
jina sikhaya hume isk ne,
marna sikhaya hume judai ne,
nahi liya karte the jaam kabhi,
pina sikhaya hume teri judai ne.
ub tu mujh ko pasand aajao.

main ne khud men bhut kami kar liii..
parindon ne kabhi firqaa parasti to nahi dekhi.

"SAGAR"

Kabhi mandar pe ja bethay kabi masjid pe ja bethay.
Ek Din Woh bahot Pachtaiga Jab Laut Ke Wapis Aayega
Mai Haule Haule Boluni Sab Raaz Dilke Kholungi
Yeh Duniya Aisi Basti Hai Har Aankh Se Aansoo Behta Hai
Dukh Dard Ke Maare Log Yahan
Har Aankh Ke Bikhre Khwab Yahan Ret Bhari Hai Aankhon Mein
Mai Usse kahungi Socho Toh gaya Waqt Kahan Se Laoge
Yeh Baat Samajh Na Paoge Behtar Tha Jo Laut Ke Na Aate
Ab Dil Ko Manana Mushkil Hai
Jab piyar karna seekh liya,
tou piyar nibhana bhi seekh liya,
jab aaye aapki yaad tou,
palkon ko jhukana bhi seekh liya,
is dar se key koi dekh na le ye aansoo,
har gham mein muskurana bhi seekh liya..