“Dil ki Batain , bata deti hai

“Dil ki Batain , bata deti hai
“Dil ki Batain , bata deti hain , Aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain, Aankhen ,

Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,Aankhen,

Woh hum se baat nahi karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain Aankhen,

Gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain Aankhen,

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain Aankhen,

Ma na ke Neend aati hai , Aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain Aankhen,

SAGAR shukar hai , Khuda ne Ata ki , Aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-Gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain Aankhen
  

Jun, 04 2010     674 chars (5 sms)     3302 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai.
''DUNIYA''se kuch ajeeb hein mery dil k mashghaley..

''KANTON''ko choomta hoon ta k phoolon ka dil jaley...
Itna roya hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte

bas gayi hai ye mere ahsaas main kaisi mahak
koi khushboo main lagaoon teri khushboo aaye
Kaash koi hum par bhi pyar jatata,
Hamari aankhon ko apne haathon se chhupata.Hum jab poochte kaun ho tum?
Muskura kar woh apne aapko hamari jaan batata.
main to phool hoon, murjha gaya to malal kaisa










tum to mehek ho tumhe abhi har phool mein samana hai.
Jo dard k Sehra mein akela b bohat hai
Uske liye Dewar ka say ab bohat hai
Dekha nahi tum ne usko tanhai mein
Bichry huy logon ko wo roya b bohat hai
Kuch tujhko wafa pe Yakeen Na Tha
Kuch Dukh meri taqdeer mein likha bohat hai
kitne hi sakhat mukaam aaye magar jaan-e faraz.
na tera dard hi tehra,na mera dil tahra.
tum taslee na do bus yon he pas bathe raho..

waqat kuch mray mrnay ka tul jay ga..
bas ik ashk-e-nadamat ne saaf ker dala

woh sab hisaab jo humne utha k rakha tha
muhabbat tum se hai
yeh chahat tum se hai
khushi ki har arzoo tum se hai
saansoon ki tamana tum se hai
dharaktey dil ki dharkanein tum se hain
mere wajood ka tasavur tum se hai
is kainaat per meri zaat tum se hai
mere hayaat ke lamhaat tum se hain

muhabbat tum se hai aur ^sirf tum se hai^

yeh chahat tum se hai aur ^sirf tum se hai