anaa k kheil main us ko boht khasaara hua
k jeet ker bhi woh legta hey mujh ko hara hua
bess ik saans thi jo aati jaati rehti thi
wegerna tery bina kb mera guzara hua
Ek Sargoshi muj se boli
Kia wo tum ho
Jo mere kaanou se lag ker
Apni Ghazalian !!!
Apni nazmain !!!
Keh jata hai
Phir mein bola
Haan mein wohe hoon
Phir wo boli
Bohat bury ho
Bohat bury ho
Bohat bury ho
Neend ura ker so jaty ho
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Soch Lena Chahiye
Bicharne Se Zara Pehle
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Ke Yoon Chahat Ko Thukraya Nahi Karte
Ke Yoon Anjaan Ban Kar Chain Se Jeena Hamare Waste
Mumkin Nahi Hoga
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Ke Wo Batein Jo Hum Ik Dosre Se Kar Chuke Hain
Ab Kabhi Wapis Na Aaein Gi
Ke Har Lamhe Jo Hum Ek Dosre Me Ji Chuke Hain
Phir Kabhi Zinda Nahi Hoo Ge
Bicharne Se Zara Pehle
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Tumhe apni yaadon se mitaya na ja saka,
ujari hui zindagi ko basaya na ja saka.
yun to hoti hai roz mulakat zindagi,
Per meri jaan ko Mujhse churaya na ja saka.