Tujhe Kiya Khabar Teri

Tujhe Kiya Khabar Teri
Tujhe Kiya Khabar Teri Yaad Ne, Mujhe Kis Tarah Se Satha Diya,
Kabhi Khilwaton Mein Hansa Diya, Kabhi Mehfalon Mein Rula Diya,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Mein,Mere Kaee Sajde Qaza Huwe,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Ne,Mujhe Mere Rab Se Malaa Diya
  

Jun, 04 2010     244 chars (2 sms)     3985 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Chehre Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
bohat hain khwaab magar khwaab hi se kia hoga

hamaray beech jo hayal hai woh haqeeqat hai
Main Use Kse Akela Chor Don Is Rah Mein
Sath jo Chalta Raha Majboriyo K Bad B,

Ban K Khushbu Rach Gae Hai Yon Mere Ehsas Mein,
Dor Ho Paya Nahi Wo Doriyon K Bad B,

Rafta Rafta Us Ko B Ye DuniaDari aa Gai,
Muskra K Wo Mila Hai Ranjsho K Bad B,

Fasle Kab Kam Hoye Hai Raabto K Bad B
Ajnbi Thy Ajnbi Hai Qurbaton k bad b...!
Woh insaan hi kya jo tere hotel ke harche utha na sakay......
mein chuka kar saare bill zinda rahoon khuda na kare...!!!
Suraj kirne bikherta hai aapko dekhkar,
Pool khushbu chodte hai aapko dhekhkar,
Hum apne dil ki kya kahe hazaro dil dhadkte hai apko dekhkar....
Yahi hai zindgi kuch Khvaab, chand ummiiden,

Inhiin khilaunon se tum bhi Behal sako to chalo
tabeebon se kya main pochon ilaaj dard-e-dil ka.

marz jab zindgi khud ho tou dawa kesi....
Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tu laut ke ayegi..!!

Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Har ashq mein tu apne mujhe hi payegi..!!
apny ghar ki tareekiyon ko kis tarha mitaon,
.
.
.
bohat maghroor hai wo chaand marzi se niklta hai.
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wo ek Shakhs k jis se shikayaten theen bohat,
Wo aziz tha us se Muhabbaten theen bohat,
Wo jab mila to dil mein koi Talab hi na thi,
Bichar geya to hamari Zaruratien theen bohat,
Wo yon mila ke jaisay kabhi mila he na tha,
Hamari zaat pe uski inayaten theen bohat,
Hamen khud apnay hi yaron ne kar diya ruswa,
Ke baat kuch bhi na thi or Wazahatein theen bohat,
Har mor pe hum totetay bikhartay rahe,
Hamari rooh pe tanha qayamaten theen bohat.
mugh per kion istrah se hhansta hai
dil bari mushkalon se basta hai
mery gaon ky sab ghar kachy hain
arey badal kahan barasta hai
jo kabhi laut ker nhn aye
un se milny ko dil trasta hai
ashqi ka maqam kia ho ga
jahan ulfat ka bhao sasta hai
meri manjzil jisy smgh bethy
meri khwahison ka rasta hai
dost kehti ho kion us ko mahrukh
jo tughy her qadam per dasta hai