Tum tu chand ho jisay

Tum tu chand ho jisay
Tum tu chand ho jisay sab log yad kartay hain
Hamari qismat tu taron jaisi hai
Yaad to door
Log apni dua k liye hamaray tootnay ki faryad kartay hain
  

Jun, 05 2010     152 chars (1 sms)     6738 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chupa li maine....;->
Zehan ko afkar ankhon ko pani daay giya
Jatay jatay wo mujay unmit nishani day giya
Apna dil apni tabahi ka sabab hota hai,

Yeh Muhabbat ka zamana b ajeeb hota hai,

Kon c baat ney kis shakhs ka dil tor diya,

Bolney waley ko ehsas hi kab hota hai..
tum tu kahte thy kh mujhy kisi se muhabat hi nai hui.

tu phir yeh shakhs kon hai jo hr shaam gahr se nikal parta hai.
pahle to paaniyon se rahi guftagu meri.

phir youn hua ke aaina eejaad ho gaya.
muhabat karny do mujh ko
kisi py marny do mujh ko

ujara is ne gulshan ko

hawa sy larny do mjujh ko

main kamzor darya hun

tu phir utarny do mujh ko

meri hasti adhuri hai

mukammal karny do mujh ko
Gham k Saaye uski janib se hta dooN lakiN

Mere Bas main nahi haathon ki Lakeerain Likhna
jub wo danton main dubatay hain ghulabi anchal..

kitnay par kaif nazron ko saza milti hai..
Tez Barish Kabhi Sard Hawao''n main Raha

1 Tera Zikr Tha Jo Meri Sadao''n Main Raha

Kitne Logo''n Se Mere Gehre Marasim Thay Magar

Tera Chehra Hi Faqt Meri Duao''n main Raha
meri sarKashi B Thi munfarid
meri aajzi B Kamal thi,



main Ana Parast bala ka tha,
So Gira to Apne hi Paon main.
KiSi roz bariSh mein ghaR se niklnA,

Khizan mein giray tootay paton pe chlna,

Tapakne lage ga jb darakhton se pani,

Tumhain yaad aye gi beeti kahani,

Keh jb hm kisi sham tm se milay thay,

Mohabat ke raston pe hm tm chalay thay,

Wo berson ke kissay vo batain purani,

Tumhain yaad aye gi beeti kahani.
Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs

Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs

Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs

Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs

Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs

Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs

Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs

Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs