Kisi say besabab uljha

Kisi say besabab uljha
Kisi say besabab uljha nahi tha
Who pehlay tu kabhi aisa nahi tha
Who phir bhi yad rehna chahta tha
Agarchay mein usay bhoola nahi tha
Bohat aala tha uska zarf lekin who meri zat ko samjha nahi tha
Who jaisay berukhi say chal para tha
Mein itna bhi gaya guzra nahi tha
Usay mein kyou bura thehraon yaroo
Who acha tha faqt mera nahi tha
  

Jun, 05 2010     343 chars (3 sms)     2968 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kisi se bat karna bolna acha nahin lagta,

Tujhey dekha jabse dosra acha nahin lagta,

Terey barey main sochta rehta hun,

Par tere bare main kisi se bolna acha nahin lagta..
ShAakh say tut k girnay ki saza do mu jhko,

aik pat''ta hun to yun na hawa do mujhko,


main shEesha hun to lagado kisi tasvEer k sath,


aur pat''ahar hun to rastay say hata do mujko,


main tumhay apni nigahon say na girnay dun ga,



tum jo chaho to nigahon say gira do mujko.
ye ehtaraam to karna zaroor padta hai
jo tu kharide to bikna zaroor padta hai
~ SHIKWAY ~

Dur Reh Kr Qareeb
kitny Hyn

Faasly Bhi Ajeeb
Kitny Hyn

Dard-e-Dil Ki Dawa
Nhi Werna

Is Jahan Main Tabeeb
Kitny Hyn

Umar bhar Saath Jo
Rahe Tere

Us k Achy Naseeb
Kitny Hyn

Kyun Na Aaya Main
Tere Sapno''''n Main ?

Mere Shikway Bhi
Ajeeb Kitny Hyn
kal shub mujhe be shakal ki awaz ne chonka deya.

main ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi.
Un se kehna k hum mazay main hain,


Bus unki yadain stati
haih,


Un ki dori ka gham nahi
mujeh,


Bus zara palkain bheeg jati hain,
Hmare dil ki gehrai ko,koi samj paya hi nhi,

kitne tanha hai hum koi jaan paya hi nahi.

Kisi ko hmari kami mehsoos ho,

khuda ne hme aisa bnaya hi nahi.
Sun li jo khuda nay wo dua tum to nahin ho
Darwazay pay dastak ki sada tum to nahin ho

Simti hoye, sharmae hoye, raat ki rani
Soye hoye kalyon ki haya tum to nahin ho

Mehsos kiya tum ko to geeli hoye palken
Bheegi hoye mosam ki ada tum to nahin ho

In ajnabi rahon main nahin koye bhi mera
Kis nay mujhe yon apna kaha tum to nahin ho
Maine kaha ke mehfil gair se khaali chahiye...!!!

uss ne kia ishara aur mujh ko he utha diya...!!!
Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna

Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.
mjhe har roz ye guman hota h sham ke bad
aj her hal man jal jae gi jan sham ke baad