Ajab baat hai woh mujh

Ajab baat hai woh mujh
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
  

Jun, 03 2010     175 chars (2 sms)     2800 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

us nay door rahnay ka
mashwara bhi likkha hai
sath he muhabbat ka
wasta bhi likkha hai
us nay yah bhi likkha hai
meray ghar nahin aana
saaf saaf lafzon mein
raasta bhi likkha hai
kuch huroof likkhay hain
zabt ki naseehat mein
kuch huroof mein us nay
hosla bhi likkha hai
shukriya bhi likkha hai
dil say yaad karnay ka
dil say dil ka hai kitna
faasla bhi likkha hai
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Dil ko seene mein dabaye rakha per dhadakta sirf tere liye ye dil,
Tera toh naam hai mere iss dil, awaas teri bhi yahan hai iss dil,
Aaaja mere tuh iss dil, ki mil jayen phir yeh do dil,
Tujhko phir na karne dun mein shikwa ki humdono hain ek dil !!
Kitna Chahte Hyn Tumhain Hum Kabhi gaur Tou Ker

Itne Tou Kabhi Hum Apne Talbgaar Na Thay ...
Kata Hai Haj Kaa’abe Ka Safar Bhi
Surror-O-Kaif Ke Saagher Luundhaate

Yaheen Gaari Mai Huuqqa Mil Gaya Tha
Karachi Tak Gaye Hain Kash Lagaate
Niklain gay es zameen se shahadat k khawastgaar...
Qareah kabhe na hoga uqum Benazir ka...

Tahreer us ke raah dekhae ge us k baad...
Ab rahbary kray ga qalam Benazir ka...

Lae ga enqalaab mery arz-e-Pak main...
Na haq lahu khuda ke qasam Benazir ka...

Wo to Riaz roza-e-rizwaan main ja basy...
Ab haal tm he krna raqam Benazir ka...
Kabhi na tootnay wala hisar ban jaon

Woh mujh mai rahnay ka faisala to karay
buhat mushkil hai terey dil pey apney dil k dard ki kahani likhna...

bilkul aisey hi jaisey behtey huwey paani pey''PANI"likhna.
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar.

Yaado ke toofa uthayega aksar.

Zikar mera karne se pehle.

tu Kuch soch ke muskrayega aksar.

Mera Naam likh kar Kitabo main apni.

tu Logon ke dar se Mitayega Aksar.

Baatein Meri Yaad ayengi itni.

Jitna tu unhain Bhulayega Aksar.
Khamoshi Ka Asar
Gehra Hota Hy
Awaaz Sy

Ye Bohay Kuch Keh
Jaati Hy Apne
Andaaz Sy ... !!
uski yadon me doob jata hun.
khud ko tanha kbi jo pata hun.

qatra qatra wajood se le kr.
khwahishon ko lahu piktata hun.

log khushiyan tajash karte hyn.
main to gham b khareed lata hun.

aj kal hy mizaj e dil barham.
rona chahun to muskrata hun.

roz kehta hun bhool jaon usay.
roz ye baat bhool jata hun!
Bin Bataye Na Jane Kiyu Os Ne Doori Kar De


Bhichar k mujh Se Os Ne mohabbat Adhoori Kar De


Mere Mukadar Main Ghum aaye To Kiya howa?


KHUDA ne Os Ki Khuwahish To Poori kar De.......!