Ajab baat hai woh

Ajab baat hai woh
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
  

Jun, 03 2010     175 chars (2 sms)     2687 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.
jo khayal thay sabhi jall gaye,

mere Lafz maani
Badal Gaye,


to meri nAzAr se he bojh le

Meri zindagi ki pahalian.
Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
Raaton mein aagar na ashk bahaun tou kya karoon,
Ik pal bhi us ko bhool na paun tou kya karoon,
Maine suna hai un ko andhare nahin pasand,
Raahon mein ab main dil na jalaun tou kya karoon,
Tum hee kaho chhod day jab zindagi bhi saath,
Phir maut ko gale na lagaun tou kya karoon,
Socha thaa kee chhod doon un ki gali,
Lekin kahin qaraar na paun tou kya karoon,
Unko Dekhte Hain To Aa Jati Hai Chehre Pe ronaq...

Wo Ye Samajhte Hain K Bemaar Ka Haal Achha Hai....
Hm Adhuri aziYat k Giriftar musafir. . .



paon B Shal hain,



shok-E-safar B Nhi jata...
Unke chehre pe is kadar noor hai
k unki yaad mein rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahin keh sakte unko
pyaar to humne kiya, wo to bekasoor hai-Hassan
Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe
be Shak Nibha Sake Ga Na Wadey Kie Howe

likin Yeh Dil Wafa Ke Irade Kie Howe


may Janta Hoon Dost Ke Rasmo Ke Khil May

pore Na Kar sakoge Tum Wade Kie Howe


sachai Ki Jhang May Hara Hoon is Liye

har Dost Samne tha Peyade Kie Howe


chahonga Youn K De Ga Zamana Meri Misal

eik Shakhs Mar Gaya Irade Kie Howe.....
Mil K Bicharna Dastoor Hay Zindagi ka,
Ik Yahi Kissa Mashoor Hai Zindagi Ka,
Beetay Howay Pal Kbhi Lout k Nahi Atay,
Yahi Sab Se Bara Qasoor Hai Zindagi Ka.
ek lafaz mohabbat ka adna yeh fasana hay
Simtay toh dil e aashiq phaylay toh zamana hay
Sukoon Milta Hy Jab
Un Sy Baat Hoti Hy

Hazaa Raato''n Me Wo
Ek Raat Hoti Hy

Nigah Utha K Wo
Dekhe''n Kbhi Jo Meri
Taraf

Wo Hi 1 Nigah Meri
Kainaat Hoti Hy