Ik raat khuwab mein mein nay

Ik raat khuwab mein mein nay
Ik raat khuwab mein mein nay
Chand say poocha chupkay se
Aaj mujhay ek baat batao
Apnay dil ka haal sunao
Kya hai koi aisa
Jo tumko acha lagta ho
Dil k pas jo basta ho
Chand ne tera naam lia
Mein ne dil ko thaam lia
Jab se dekha hai yeh sapna
Tab say chand raqeeb hai apna
  

Jun, 03 2010     282 chars (2 sms)     2413 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tumharay saath rehna hai
Mujhe har waar sehna hai

Mujhe ashkoon ki surat main
Teri ankoon say behna hai

Tumharay hussan par janan!
Udasi bhi tu gehna hai

Yehi tu Juram hai apna
kay hum nay pyar pehna hai

Chalo ab bey rukhi choro
Humain aik saath rehna hai

Hay mera katam afsana!
Tumhin kuch aur kehna hai?
be-chain hum hi nahi aun ke yaad mai...
.
karwatain tou wo b badaltay hain raat bhar.
Khoshion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaaj Hai Meri Zindagi,
Hans Laite Hain Dunya Ko Dikhaney K Lye,
Warna Dard Ki Kitab Hai Meri "ZINDAGI"...
Humai''n Hoti Hy
Talsh-e-Mohabbat Aksar

Is Liye Pyaar Ki
Raah Main Safar Kerte Hyn

Jin Ki Yaado''n Main
Guzarta Hy Sara Din

Un Hi K Khwabo''n Main
Raat Basar Kerte Hyn ... (:
Ajeeb Qarb Ka Alam Hai Meri Basti Par,
Ghata Bhi Chaai Hai Barsat Bhi Nahi Hoti,
Silay Hain Hont Koi Baat Bhi Nahi Hoti,
Ajeeb Rang Badalta Hai Asar Ka Suraj,

K Sham Khafa Hai Or Rat Bhi Nahi Hoti,

Main Tumhari Zaat Ka Hissa Bhi Ban Nahi Sakta,

Juda Tumse Meri Zaat Bhi Nahi Hoti.../
Yeh bhi saach hai ke nahi koi rishta tujh se...
Jitni umeedein hain wabasta hain tanhan tujh say....
Yeh alag baat tujhey toat ke chaha laykin....
Dil bemaya nain kuch bhi nahi chaha tujh say..!!
Boht he Maan hy tum par,
SUNO paas-e-wafa rekhna,

SABHI se tum milo lekin,
ZARA sa fasla rkhna,

BICHARNA b to parta hy,
Zara sa hosla rkhna,

WO sarey wasl k lamhey,
TUM ankhon mn saja rkhna,

ABHI imkan baqi hy,
ABHI lab pe duaa rkhna,

BOHT nayab hyn dekho,
HUMAIN sab se juda rkhna,.
Utra hai mery Dil mai koi Chand Nagar sy,Ab khauf nai koi andheron k Safar sy,Wo Baat hai tujh mai k koi tujhsa nai hai,A Kash koi Dekhy tujhy meri Nazar se
Unke chehre pe is kadar noor hai
k unki yaad mein rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahin keh sakte unko
pyaar to humne kiya, wo to bekasoor hai-Hassan
usey apney farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif-e-haal tha

wohi us ki subhey urooj thi,
wohi mera waqte zawal tha

kahan jao gey mujhy chor k,
main ye pouch,pouch k thak gaya

wo jawab na mujh ko dey saka,
wo tou khoud sarapa-e-sawal tha

usey meri chup ney rula dia,
jise guftogu main kamal tha
Tere hath se mere hath tak
Woh jo hath bhar ka tha fasla
Ussay naptay, Ussay kat'tay
Meri sari Umar guzar gye
ub tu itbaar hu gaya hai tum ko meri muhabat ka.

malne k laye yun naqaab ord kar aya na karo.