us se duur janay ka

us se duur janay ka
us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
  

Jun, 05 2010     162 chars (2 sms)     2402 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mera Pyar Mujhse Dur Hai.

Mera Dil Is Waqt Milne Ko Majbor He

Idhar Ham Tadpe Udhar Vo Tadpe

Shayad Yahi Mohabbat Ka Dastoor he
Raat bhar pehlo mai bhitha kar yar ko Ghalib
Jo log kuch nai karte wo kamal karte hain
Ye Pyari Nigahein Yaad Rahengi
Milkar Na Milne Ki Ada Yaad Rahegi
Mumkin Nahi Ki Main Tumhe Bhula Dun
Aur Umar Bhar Tumhe Bhi Meri Yaad Rahegi
shayad kabhi arsa-e-ashk shub kat na sake..

tu subha ki hawa hai hum shaam k charagh..
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar Chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki
''ALI'' Ada he to doulat hy Mah-jabino ki

jo Bay Rukhi Na Kary ,wo Pari JamaL Nahi.....
Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna
Bohut Aasaan Nahin Hota, Judai Mangte Rehna

Zara Sa Ishq Karlena, Zara Si Aankh Bhar Lena
Phir Is K Baab Main Sari Khudaai Mangte Rehna

Kabhi Mehroom Honton Pe Dua Ka Hurf Rakh Dena
Kabhi Wehshat Main Us Ki Narsai Mangte Rehna

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Roth Jati Hai
Kahani Main Zara Si Bewafai Mangte Rehna

Ajab Hai Wehshate Jan Bhi K Aadat Hogai Dil Ko
Sakot-E-Sham-E-Gham Se Ham Nawaai Mangte Rehna

Kabhi Bache Ka Nannhe Hath Pe Titli K Per Rakhna
Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna
Pehchaan nahee''n hay...


Rango''n ki mujh ko...


Mai''n is nai''mat say aari hoo''n...


Kyu''n-k mai''n nay ab tak...


Us k che''hray ki...


Qaus-e-qazah k rango''n say aagay...


Koi rang nahee''n daikha...!
Dosti Sabhi Karte Hain,
Par Nibhana Sabhin Ko Nahin Aata,
Jisse Dosti Maine Ki
Usse Bhichadna Mujhe Nahin Aaata.
khud ko chuntay huway din sara nikal jata hai
phir hawa shaam ki chalti hai, bikKhar jata hoon
Gulshan ki faqat phooon say nahi kantoon say bhi zeenat hoti hay..
jenay k lia is dunia mien gham ki bhi zaroorat hoti hay

A waiz-e-nadan karta hay to hi to qayamat ka charcha..
yahan rooz nighahien millti hien yahan rooz qayamat hoti hay..

who purs-e-shy gham ko aay hien kuch keh na sakoon chup reh na sakoon..

khamoosh rahoon to mushkil hay keh don to shikayat hoti hay..
karnay hi parry ga zabt-e-alam peenay hi parray gien ya aansoo..

faryad wa fughan say aa nadaan tuhen-e-muhabbat hoti hay..

jo aa k giry ka daman par who aashk nahi hay pani hay..
jo aashk na jhalky aankhoon say us aashk ki keemat hoti hay
khush rahe ya udaas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in baadlio se niklega
koi aaye ga dil ko aas rahe
hum muhabat ke phool hai shayad
koi kanta bhi aas pass rahe
mere seene me is tarah bas ja
meri sanson me teri khushbu rahe
aaj hum sab ke saath bahut hase
aur phir deir tak udaas rahe