log aksar karte hian yeah

log aksar karte hian yeah
log aksar karte hian yeah sawal mujh se
kia hai rishta tera mujh se
kia bataoo kese samjhaaoo kia hia rishta humara...
bataye koi mujhe kia hia rishta
barish ka paani se..
badal ka hawa se
chand ka chandni se
kia rishta hai
farishtoo ka ibadat se
muazin ka aazan se...
koi in rishtoo ko naam de....
nahi koi na de pya in rishtoo ko naam..
par janti hoon mian
in ka rishta hai..pyar ka..muhabat ka chahat ka..
wohi rishta hai tera mujhe se..
haan wohi rishta hai...
jo kisi naam ka muhtaj nahi...

DUNIYA KI KHATIR SAHI...IS RISHTE KO NAAM DO......
  

Jun, 04 2010     565 chars (4 sms)     2358 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujhey Deewana Sa Laghtey Hain Terey Sheher Ke Log
Merey Daa An Se Ulajhtey Hain Terey Sheher Ke Log

Main Gaya Waqt Hoon, Wapas Naheen Aaney Wala
Kiun Mera Raasta Taktey Hain Terey Sheher Ke Log

Jab Bhi Aata Hey Mera Naa Terey Naa Ke Saath
Meri Qismat Pey Sulagtey Hain Terey Sheher Ke Log

Aur Kiyaa Doon Tujhey Ain Apni Wafaaon Ka Suboot
Ab Merey Haal Pey Hanstey Hain Terey Sheher Ke Log
un se dori b bahar,hal qyamat thi magar.

un ko pa kr b chean na aya ye qissa kay he?
Mere hUm SukHan Ka yeH huKam Tha,
k KalaM Us sE MeIN Ki0n Kar0oN,
mErE hoNT AisE SiLaY PhIR,

MeRi CHuP nE uS k0 RuLa DyA...
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai.
Dosti mein duniya lakh baney rukavat,
Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Aanaa Passand Kabhi Muhabbat nahin Kartay..!!

Muhabbat Un ka Shewa Hai Jo Khud ko "Maar" Detay hain..!!
sapne aakhir sapne hote hain,
unke poore honeki umeed mat karna....
koi aaye ya na aaye,
tumm apni aankhen nam na karna....
yeh zindagi tumhari apni hain,
ise kisike liye khudse juda mat karna....!
Tere hath se mere hath tak
Woh jo hath bhar ka tha fasla
Ussay naptay, Ussay kat'tay
Meri sari Umar guzar gye
majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
kiya mila use mire dunya ujar kar
woh bhi tanha phir raha hai mujhe tanha chor kar
Chahton k mosam mein,
Zakhm jo b lag jaen,
Umer bhar nahi siltay,
Tum nay sun liya ho ga,
Shehar ki hawaon say,
Wo jo ik dewana sa,
Atay jatay rahi ko,
Raston mein milta tha,
Ab kahin nahi milta...
Ek Samundar hai k mere muqbil hai,
Ek Qatra hai k sambhala nahin Jaata.
Ek umr hai k guzarni hai tere bagair
Ek lamha hai k Guzara nahin Jaata...!!