gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !
Ab Nigahon Mein
Na Khuwaish Hai
Na Hasrat Hai
Na Malal
Ab Yahan Lub Py
Kahan Hurf-E-Sawal Aata Hai
Hum Ny Apny Dil Ko Bohat Dair Sanbhala
Dil Hai Pathar Toh Nahee
Is Mein Toh Baal Aata Hai
Ab Humey Kis Ki Muhabbat Ka Yakeen Aaye Ga
Un Ki Beyzar Nigahoon Ka Khayal Aata Hai..!
Bohut he mudat k baad kal jub kitab-e-maazi ko main ne khola, bohut se chehrey nazar mein utrey bohut se naamon pe dil piseeja,ik aesa safha bhi uss mein aaya, likha huwa tha jo aansuon se,k jis ka unwan Pyaar tha, ye safha sub se he moutaber tha, kuch or aansu phir uss pe tapkey,phir uss se aagey main parh na paya,kitab-e-mazi ko band kar k ussi ki yaadon mein kho gaya main,agar hum saath hote tu Kesa hota,inhe khayalon mein so gaya main.....!